Samanya Gyan

12th Ke Bad Commerce Line Ke Top 20 Courses In Hindi

12th Ke Bad Commerce Line Ke Top 20 Courses In Hind

Jab koi student apni pdhai chlu karta hai toh usko 10th class tak koi career ke bare me itni tansion hoti hai  kyoki vanha tak use koi option select karna nhi padta hai lekin jab koi student  12th class me pahuchta to vanha use apne career ke bare me sochna padta hai kyoki vanha use apne career ke bare me ek option select karna padta hai usme bhut jyada problemhoti hai aur  kisi bh student se unke rishtedaar aur bade bhai behen career planning ki baatein karne lagte hai. Jitne mooh utni salah aur bechaara student is me ulajh jaate hai aur ve khule dimaag se sahi career chun nhi paate. toh ek student ko apne interest ke hisab se apne career ke liye achaa option select karna chahiye.

Toh 10th ke bad student ke pas 10+1 me admission leta hai toh uske pas 4 option hote hai Art ,Commerce ,Medical , Non Medical. inke andar se hi koi student ek option select karta hai aur usi line me age pdhai karni padti hai 10+2 ke bad bhi . toh yadi kisi student ne  10+2 commerce mein ki hai toh uske paas kayi tarah ke graduation courses karne ke option hote hai. aur apke pas bhut se option khul sakte hai . aap apni study performance ke hisab se koi bhi courses  select choose kar sakte hai. toh aaj hm apko kuch achee courses ke bare me btayenge yadi apne 10+2 Commerce me ki hai toh aap inke andar se koi bhi apne hisab se choose kar sakte hai.

Top 10 Best Job Option 10+2 Failures And College Drop-Outs Students Ke Liye

Top 20 Courses To Do After 12th Commerce

1. B.COM.

B.Com. ya Bachelor of Commerce ek aisa graduation course hai . jo student bhut jyada karte hai .jo student commerce line se 10+2 karta hai vah yadi pdhai me average hai toh vah yhi course karta hai . kyoki yah bhut assan course hai. jo   3 years me ho sakta hai . iss course ki khas bat ki iss ciurse ko bhut si  Government Institutes bhi karwate hai jis se student sit ke liye jyada problm nhi hoti aur jyada fee bhi nhi lagti hai.

Is course me financial planning, fayda nuksan, business planning and accounting jaisi kayi zaroori cheeze sikhai jaati hai. iss course ke bad master degree course  M.com kiya ja sakta hai. jo 2 years ka hota hai. aur yadi business line me jana hai toh MBA bhi  kar sakte hai . lekin yadi aap age padhna nhi job karna chahte hai toh app iss base pe bhi bhut si private aur govt. job kar sakte hai. aur ise course ke andar bhut alag alag subject hote hai.

Important subjects present in B.Com. course

  • Economics
  • Marketing
  • Entrepreneurship
  • Mathematics
  • Computer Applications and IT
  • Business Regulatory Framework
  • Company Laws
  • Corporate Accounting
  • Income Tax
  • Business Communications
  • Business Environment
  • Management Accounting
  • Auditing
  • Statistics
  • Human Resource Management
  • Banking and Insurance

Yah B.com course ke kuch impotant subject hai jo semster ke hisab se pure course me yah pdhne padte hai.

30 Best Part-Time Jobs College Students Ke Liye In Hindi

2. B.B.A.

B.B.A. ka pura naam Bachelor of Business Administration hai .aur yah course 10+2 Commerce se karne ke bad kiya ja sakta hai . aur 10+2 ke bad kuch achee course me se ek hai .Bachelors of business administration 3 saal ka course haiIs course mein aapko business management aur human resource jaise subject ke bare knowledge di jati hai.

Is course ke bad bhut si private aur govt. job ki ja sakti ha lekin apko bta de ki is course ke bad jyada tohprivate job hi ki jati hai . kyoki is coruse ke bad achii post ki govt. job milti hai aur uske liye achii mhant karni padti hai. bhut si  MNCs bhi is course wale student ke liye job nikalti hai .

Important subjects present in B.B.A. program 

  • Financial Management
  • Marketing
  • Economics
  • Human Resource Management
  • Accounting
  • Statistics
  • Business Communications
  • Entrepreneurship skills

Iske andar apko kuch subject milenge apko apna area dekh ke subject ko choose karna hoga.

 3. Bachelor Of Economics

Bachelor Of Economics  bhi Commerce line me ek  graduation course hai. jo 10+2 ke bad kiya jata hai aur Commerce line ke student ko B.Economics. or B.A. Economics se relatively full information di jati hai. aur yah course karne ke bad koi bhi student govt aur parivate job kar sakta hai. usko bhut se option milte hai job ke liye . aur yah course aap 3 years me pura kar sakte hai.aur iske bad aap aur bhi bhut se course kar sakte hai .

Important subjects present in B.Economics. program

  • Agricultural Economics
  • Macro Economics
  • Principles of Economics
  • Indian Economics
  • Macro Economics
  • Industrial Economics
  • Banking Economics
  • Public Finance
  • International Trade
  • Regional Economics

 4.  LAW

Pahle ke rule ke hisab se kewal Graduates student hi L.L.B.  kar sakte the lekin nye rule ke hisab se jis student ne 10+2 commerce me ki hai. unke liye bhi L.L.B KE liye option khul gye hai. yah 5 years ka course hota hai . jiske andar Law se related sabhi subject ki knowledge di jati hai . aur iske bad aap Govt. job bhi kar sakte hai. aur  iske bad aap koi bhi aur course karna chahe toh aap kar sakte hai . aur yadi apne LAW kiya hai toh aap bhut se apne private project bhi start kar sakte hai.

Important subjects present in Law Courses

  • Constitutional Laws
  • Property Laws
  • Banking Laws
  • Environmental Laws
  • Company Laws
  • Consumer Protection Laws
  • Family Laws
  • Labour and Industrial Laws
  • Human Rights laws
  • Administrative Laws
  • Public International Laws

5. C.A. (Chartered Accountancy)

C.A yani ki chartered accountancy . CA bhi 10+2 karne ke bad kiya jata hai.aur yah kuch high class course me se ek hai . C.A ka kaam yah dekhna hota hai ki koi company ke financial document ke andar koi farud nhi kiya gya ho. koi bhi C.A kisi bhi company ke document ko chack kar sakta hai. aur C.A ki job ke andar salary bhut jyada milti hai yah kuch high class salary job me se ek hai. aur C.A ka course aap 5 years me kar sakte hai lekin yah kuch hard course me se ek hai .

Iski pdhai bhut hard mani  jati hai.CA ki padhai sabse mushkil padhai mein se ek maani jaati hai. Har saal bhut student CA ka form bharte hai par kuch student hi iske exam  mein pass ho paate hai. Isme sabse pehla test Common Proficiency Test (CPT) ke naam se jaana jaata hai jisko bauhat kam student  clear kar paate hai, agar aapne yeh test pass kar liya toh aap CA ka pahla step chadh jaate hai. CA ki pariksha mein 4 Steps (CPT-IPCC-Articleship-Final) hote hai jisko clear karne mein kayi saal lag jaate hai aur kayi baar ek exam bar bar dena padd jaata hai toh isi kaaran se log side by side graduation bhi karte hai.

Important subjects present in Chartered Accountancy program

  • Accounting
  • Economics
  • Taxation
  • Tax Laws
  • Auditing
  • Business Laws
  • Financial Management
  • Business Communication
  • Corporate Laws

6. C.S (Company Secretary)

Company secretary ki toh sabhi company ke andar jarurat padti hai .aur Company secretary ek bauhat acha career option hai. Agar aap is course ko 10+2 ke baad karte hai toh aapko iska 8 mahine ka foundation course karna padta hai aur agar aap graduation ke baad karte hai toh aapko yeh 8 mahine ka course karne ki zaroorat nhi hoti hai.Is course ke ke bad  executive aur professional course hote hai. Agar aapne yeh  3 course kar liye hai toh aapko 16 mahine ki training kisi CS professional ke saath karni padti hai.

Aur ICSI (Institute of Company Secretaries of India) ke under me iske exam liye jate hai. aur 10+2 ke bad yah ek best course hai iske andar bhi achii salary milti hai.

7. Statistics Honours

Statistic honours un  student ke liye  perfact course  hai jinko logic aur mathematics mein roochi hai. Is course ko karne ke baad aap company ke logistics aur accounts data  department me kaam  kar sakte hai. Kayi student is course ko karne ke baad MBA, actuarial science, MA aur kayi tarah ke post graduate course karte hai.

Aur  yadi iske base pe hi job karna chahe toh yha bhi bhut option milte hai. lekin apko yadi  job karni hai toh apko sath sath age course karna chahiye . taki apki knowledge me kuch performance age badhe. aur apki job bhi lagi rhe.

8. Hotel Management

Bhut se student ka intrest Hospitality industry mein hota hai. Aise student  ko chakaa chaund aur human resource management ki zindagi achi lagti hai. Bharat mein kayi bade hotel management institutes hai jo hotel managment ki training dete hai. aur yah course 3 years ke liye hota hai aur uske bad traning hoti hai.

Yadi apki knowledge achii hai. toh apki traning jldi hu puri ho jati hai aur iske base pe aap bhut si job le sakte hai hotel management ke course karne ke bad bhut se parivate job option milte hai aur achii salary ke sath . aur aap is course ke bad aur bhi course kar sakte hai .

9. BArch

Bachelors in Architecture bhi  ek high professional course hai.  aur  yah high paying jobs mein se ek aisa professional course hai jisme commerce ke student admission le sakte hai.  lekin iss course  ke andar  science ke student hi is profession mein intrest  dikhaate hai par pichle kuch saalo mein commerce pass out student  ne yeh trend badal diya hai. BArch mein admission ke liye aapke paas 10+2 mein maths hona zaroori hai. Architecture college mein  student ka selection entrance test par depand  hota hai.

Kyoki iss course ke college bhut kam hai . aur is course ko karne  wale student bhut jyada hai. is liye iske andar admission lena bhut muskil hai. aur yadi kisis achee university me admission lena ho to entrance test dena padta hai.

10. Event Management Course

Aaj bhut se managment course bhi hote hai jinke andar ek event management traning bhi hoti hai kyoki aaj bhut se bade bade log jab koi event karwate hai toh wahe achee managment karne wale ko dekhte hai . kyoki unke pas koi time nhi hota hai achii planing ke liye aur vahe achii advice lete hai ya usi se hi planing karwate hai .

Isliye aaj bhut se institute aaj event management ki traning karwate hai. yah traning 6 month se 1 years ke liye hote hai . aur yah bhut hard traning nhi hoti hai.  aur iske andar salary nhi apna comission hota hai. aur kuch company salary bhi deti hai .

21 business Ideas Jo 1 Lakh Se Kam Ki Investment Start Kar Sakte

 Other Best Courses After 12th Commerce

  • Certified Public Accountants (CPA)
  • MBA / PGDM
  • Chartered Financial Analyst (CFA) and various other related Finance courses like FRM, CFP etc.
  • Cost & Management Accountants (CMA)
  • Actuarial Science (Actuary)
  • ACCA
  • Bachelors & Masters in various fields (there are many types of Bachelors & Masters courses) e.g. Bcom, BAF, BMS, BMM, BFI, BFM, BBA, etc. and e.g. Mcom, MFC, MFM, MFA, MHRD, MMS, MLW, etc.
  • MPSC, UPSC, IAS etc. i.e. Civil Services
  • Accounting Technician Course (ATC) offered by ICAI
  • Doctorate degrees like PhD
  • Investment Banking Courses
  • Stock Broker Certification Courses
  • Indian Institute of Banking and Finance (IIBF) Courses
  • Bachelor/Masters of Computer Applications (BCA / MCA)

 Top 10 Commerce Colleges in India

  1. Shri Ram College of Commerce, New Delhi
  2. Lady Shri Ram College for Women, New Delhi
  3. Christ University, Bangalore
  4. Loyola College, Chennai
  5. Hans Raj College, New Delhi
  6. Hindu College, New Delhi
  7. Anil Surinder Modi School of Commerce, Mumbai
  8. St.Joseph’s College of Commerce, Bangalore
  9. Madras Christian College, Chennai
  10. Symbiosis College of Arts and Commerce, Pune

Other Best Commerce Colleges in India

  1. St.Xavier’s College, Mumbai
  2. Narsee Monjee College of Commerce and Economics,Mumbai
  3. R.A. Podar College of Commerce & Economics, Mumbai
  4. Tirumala Tirupati’s Devasthanam’s Sri Venkateswara College (SVC), New Delhi
  5. Jesus and Mary College (JMC), New Delhi
  6. H.R.College of Commerce & Economics, Mumbai
  7. K. J. Somaiya College of Arts and Commerce, Mumbai
  8. Shri Guru Gobind Singh College of Commerce
  9. Ramjas College, New Delhi
  10. St. Francis College for Women
  11. Stella Maris College, Chennai
  12. Mount Carmel College (MCC), Bangalore
  13. Delhi College of Arts and Commerce (DCAC), New Delhi
  14. Sri Bhaghavan Mahaveer Jain College (SBMJC), Bangalore

Toh Yadi apne 10+2 Commerce line se ki hai toh aap inme se koi bhi course kar sakte hai. jo college apke  area ke pas hai un se kar sakte hai umeed hai ki hmare dewara di gyi jankari apke kaam ayegi aur jankari achii lage toh apne dosto ko bhi share kare.

Related Articles

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button