Samanya Gyan

Top 10 Best Job Option 10+2 Failures And College Drop-Outs Students Ke Liye

Top 10 Best Job Option 10+2 Failures And College Drop-Outs Students Ke Liye

Aaj bhut se aise student hai jinka pdhai me mn nhi lagta hai. vah kosis to karte hai ki aur student ki trah achii pdhai kare lekin unka mn nhi lagta hai isliye unhe pdhai chodni padti hai . lekin kuch student ki majburi hoti hai padhai chodne ki . aur kuch logo ki soch hai ki jo pdhai me jyada intelligent hote hai vo hai achii job ya business karke achee paise kama sakte hai lekin apko bta de ki aaj bhut se aise businessmen hai jo 10+2 fail hone par bhi aaj kuch sucessfull businessmen ki list me samil hai.toh aap yah bilkul na soche ki aap padh nhi sakte toh aap kuch nhi kar sakte hai . aaj bhut se aise business hai jo 10th ya 10+2 karne par bhi kar sakte hai.

Bss apko thodi knowledge honi chahiye achee bolne ki aur bat  karne ki yadi apke yah dono chije hai aur achaa confidence hai toh apko sucessfull hone se koi nhi rok sakta hai. yadi aap kuch kosis karke 10th kar lete hai ya 10+2 kar lete hai . to apke samne bhut se option aa jate hai yadi aap job karna chahe toh job kar nsakte hai lekin yadi aap khud ka business karna chahte hai toh wo  bhi kar sakte hai. aaj bhut se businessmen hai jinka pdhai me mn nhi tha lekin kuch karne ka confidence tha toh aaj vah  crore ka business karte hai .

Toh yadi aapka bhi pdhai me mem nhi legta aur aap job karna chahte hai toh apke liye kuch achee job ke option btayenge jis aap kr sakte hai. aap apne interest ke hisab se kar sakte hai.

Top 10 Best Job Option 10+2 Failures And College Drop-Outs Students Ke Liye

1. Data Entry Operator Ka Kaam Kar Sakte Hai

Aaj bhut si choti  company data entry ke liye operator ko rakhti hai . aur uske liye vahe jyada qualification bhi nhi mangti hai. bss apko computer ki achii knowledge hai aur apki typing speed achii hai toh aap iske liye aplly kar sakte hai . lekin iske liye apke pas 10th ya 10+2 pass out honi chaiye aur yadi aap college se dropouts ho toh bhi aap yah job kar sakte hai lekincompany tayping speed  40 to 50 words per minute tak mang sakti hai.
Isliye apko apni typing speed achii karni chahiye aur aap yah job kar sakte hai.yadi apko achi data entry aati hai toh company apko achii salary de sakti hai.

  • Job Description: Data Entry Operator
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: 18 years to 28 years
  • Skills: Writing Speed of 40 – 50 Words Per Minute
  • Salary: Rs 7,000/- to Rs 120,00/-

2. Call Centre Me Kaam Kar Sakte Hai

Call center ki bhi ek achii job hoti hai yadi apke pas achii communication skills hai . yah un student ke liye hai jisne 10+2 ki hai ya college choda hai. dono ke liye ek achii job hai. aaj bhut si company hai jo apne customer ko handle karne ke liye call center ke andar employee rakhte hai vahe jyada qualification nhi dekhte hai .apke pas 10+2 ya degree  ho ya nhi toh bhi chlegi.;ekin apko customwer se bat karni ani chahiye aur apke andar achii commnucation skills honi chahiye.

  • Job Description: Customer Support
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: 18 years to 29 years
  • Skills: Talking and Communication Skills
  • Salary: Rs 7,000/- to Rs 35,000/-

3.  Network Marketer Ka Kaam Kar Sakte Hai

Network marketer bhi marketing ka kaam hai iske andar apko team bnani padti hai . sabse pahle aap kisi bdi team ke member banenge aur fir apko apni team bnani hogi apko apni mhant se bande jodne padenge aur apka network ko bda karna padega aap jitna bda netwoek karenge apko utna jyada profit milega aaj bhut si aisi company hai jo jo marketing ka kaam karwati hai toh yadi apne 10+2 ki hai ya college se drop ho gye ho toh aap yah job kar sakte hai.

  • Job Description: Network Marketer
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: 17 years to 28 years
  • Skills: Building Network and Leadership Quality
  • Salary: Rs 10,000/- to Rs 50,000/-

4. Sales Representative

Yadi apne 10+2 ki hai ya college se drop hue hai toh aap sale representative ka kaam kar sakte hai . aaj but si asi company hai jo apne product ko customer tak puchane ke liye unke door tak product bhejti hai aur aise sale karne ke liye company ko achee employee hire karne padte hai . jinke andar customer ko impress karne ki skills ho company jyada qualification nhi mangti lekin customer ko attrect kane ka tarika ana chahiye isliye yah job bhi ek achii job hai hai aur iske andar company salary ke sath commision bhi deti hai.

  • Job Description: Sales Representative
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: 17 years to 27 years
  • Skills: Selling Products
  • Salary: Rs 7,000/- to Rs 20,000/-

5.  Mail Posting Jobs Kar Sakte Hai

Mail posting jobs bhi  ek great job option hai. 10+2 failures and college dropouts student ke liye . iske andar kuch mail ko post karna hota hai. aur apko mail kisi dusre business ko permote karne ke liye mail karni padti hai. aur apko iske badle apko achii salary di jati hai. aur apko jyada time kaam bhi nhi karna padta hai. aur apko achii job bhi milti hai .

  • Job Description: Mail Posting
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: No Age
  • Skills: Posting and Creating Good Letters
  • Salary: Rs 7,000/- to Rs 40,000/-

6. Indian Army and BSF Jawan

Yadi aapki achii fitness ho aur apki achii body ho toh aap indian army ki tyari kar sakte hai . iske andar apse 10+2 ya 10th mani jati hai lekin apko physical test dena hota hai isliye apki body fitness honi chaiye .aur apko bta de ki india ke andar aaj bhut se young student indian army ke andar apply kare hai . apko achii tyari ke sath apply karna chahiye tabhi aap select kar sakte hai aur apko koi physical problem nhi honi chahiye.

  • Job Description: Indian Army or BSF Jawan
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: 17 years to 24 years
  • Skills: Strong Physical Body
  • Salary: Rs 7,000/- to Rs 120, 00/- Plus DA/TA

7. Police Men Ki Job Kar Sakte Hai

Yadi apko police ki job pasand hai toh aap vah bhi kar sakte hai iske andar apko pahle test clear karna padta hai uske bad aapko phyical test dena padta hai . iske liye apko 10+2 karni padti hai aur iske andar bhut si asi job bhi hai jinke andr apko 10th se bhi kaam chla sakte hai. lekin apko body fitness achii honi chahiye tabhi aap kamyab ho sakte hai.

  • Job Description: police
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: 17 years to 24 years
  • Skills: Strong Physical Body
  • Salary: Rs 12,000/- to Rs. 50,000/-

8.  Sarkari Naukri ke Liye Apply Kar Sakte Hai

Yadi apko sarkari naukari pasand hai toh aap bhut si sarkari naukari 10+2 base pe milti hai . aur app apni skills ke hisab se koi bhi job ke liye apply kar sakte hai . lekin apko bta de ki sarkari nokari pana itna assan nhi hai iske liye bhut mhnat karni padti hai . aap achii mhant karke hi sarkari job pa sakte hai kyoki aaj competition bhut jyada hai.

9. Broadcast Technician Ka Kaam Bhi Kar Sakte Hai.

Broadcast technician ek entertainment business ya job hai iske andar apko kisi radio broadcasting me kaam karna hota hai . aur apko Broadcast  dashboard ko control karna hota hai jo  audio and video ko television aur  radio pe  broadcasts karne me istemal kiya jata hai . yah ek achi job hai ise andar apke andar achaa bolne ki skills honi chahiye.

  • Job Description: Broadcast technician
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: 17 years to 24 years
  • Salary: Rs 12,000/- to Rs. 50,000/-

10. Online Jobs Ya Business Kar Sakte Hai

Yadi apko achii computer aur internet ki knowledge hai. toh aap online job se lakho rupee kama sakte hai . iske andar apko koi pdhai ki jarurat nhi padti hai. bss apko thodi bhut english ani chahiye aur apko achii internet ki knowledge honi chahiye tabhi aap ache paise kama sakte hai

  • Job Description: Online Jobs
  • Eligibility: 10+2 Fail or College Dropouts
  • Age: No Age
  • Skills: Computers and Internet
  • Salary: Rs 7,000/- to Rs 200,000/-

Hmne hmari purani post ke andar bhut achee online job ya business btaye hai aap vaha se apne intrest ke hisab se koi bhi job ya business kar sakte hai. Uska link; Top15 Online Business Ideas In Hindi

Umeed hai ki hmare dewara di gyi jankari apke kaam ayegi aur jankari pasand aye toh apne dosto ko bhi share kare.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button