Samanya Gyan

30 Best Part-Time Jobs College Students Ke Liye In Hindi

30 Best Part-Time Jobs College Students Ke Liye

Aaj bhut se student aise hai jo part time job karna chahte hai .kuch student ki to majburi hai kyoki unke pas apni jarurto ko pura karne ke liye paise ki kami hai aur sayed  unke koi aur kamane wala bhi  na ho lekin kuch apne sonk ko pura  karne ke liye part time job karna chahte hai . vahe apni padhi ke sath hi koi achaa income ka source bhi chahte hai . aur aise student ke liye aaj bhut se kaam hai yadi wo karna chahe toh aaj aur vah kaam karke vah kewal apni hi jaruto ke sath apne ghr ki jarurato ko bhi pura kar sakte hai. lekin uske liye unko bhut mhant karni padti hai . aaj online or offline dono tarike se kaam kar sakte hai .

Yadi kisi ko computer aur internet ki achii knowledge hai. toh online to itne business ya job hai ki aap apne intrest ke hisab se bhut si job kar sakte hai. aur apko btade ki inke andar apko koi investment ki bhi jarurat nhi padti hai . aur yadi aap koi offline job karna chahe toh vo bho bhut hsi lekin apko bta de ki online aur offline me kya differnce hai ..ap online job karte hai toh aap use kisi bhi time kar sakte hai yani rat ho ya din ho apko time lage tousi time kar sakte hai  aur aap apne ghr bethke kar sakte hai

Lekin yadi aap offline koi job karte hai toh uska tome fix hota hai . aur kya pta apki salary bhi fix ho . lekin apki online business  ya job ke andar aap unlimited paisa kama sakte hai.isliye apko yadi part time job karni hai toh aap kosis kare ki online job kare . toh aaj hm apko kuch online or offline job ke bare me btayenge. aap apni condition aur interest ke hisab se kar sakte hai.

Offline Part Time Job

1. Insurance Agent

Insurance agent ek achi part time job hai . lekin apko bta de ki bhut se log is job ko accha nhi btate hai kyoki bhut se agent farud karte hai aur wo puri jankari nhi dete hai aur bad me puri condition ka pta chalta hai jis bhut se insurance agent par trust nhi karte hai aur kuch company bhi fake hoti hai .lekin apko bta de ki aap koi achii company ke insurance agent jaise ; LIC, ICICI Prudential, TATA AIG, HDFC Life etc. aap apne clg time ke bad bhi yah kaam kar sakte hai. apko iske andar commission milta hai.

2. Offline Data Entry

Data entry online ke sath offline bhi ki jati hai. bhut si jgah offline computer par data entry ki jati hai. iske andar apko typing ke rupee diye jate hai iske andar apko page ke hisab se rupee diye jate hai. aur yadi apke pas clooege ke bad thoda bhut time bachta hai .toh aap data entry ki job kar sakte hai.

3. Networking  Marketing

Yah ek best part time options hai. kyoki bhut si company jo bhut achee product bnati hai .lekin logo ko unke bare me bhut kam pta hota  hai . isliye vah marketin karwate hai .iske liye unhe kuch der kaam karne wale bande ki jarurat padti hai . isliye yadi aap thoda bhut time nikal sko toh aap marketin ka kaam kar sakte hai.

4. Library Monitor

Yadi aap part time job karna chahte hai toh library moniter ka kaam kar sakte hai . iss job ke andar aap library ke andar sab dekhnge aur ek achaa environment create kaarne ki kosis karnge . aap iske sath apni khud ki bhi study kar sakte hai. isliye apko bhi achaa study environment milega aur aap sath sath job bhi kar sakenge.

5. Teaching Assistant

Yadi aap aap thodi high class knowledge wale student hai toh aap teaching assistant ka kaam bhi kar sakte hai.iske andar apk kuch jyada kaam nhi karne padte hai . bee apko teacher ki thodi bhut help karwani padti hai. bss apke pas jis time hota hai aap usi time teacher ke pas jaye aur apni problem ke sath teacher ki bhi help karwa de jis se aap apni study ke sath job bhi kar sakte hai.

6. Tour Guide

Yadi apko kuch achee tour places kwe bare me achii trah pta hai toh aap tour guide ka kaam bhi kar sakte hai . kyoki tour guide kaa kam daily nhi hota hai . aur sabse badi bat jyada tour sunday ko hi jate hai toh us din apki bhi chutti aur aap assani se ja sakte hai lekin yadi aap yah kaaam karna chahte hai toh apko kuch achee tourist places ke bare me achii jankari honi chahiye.

7. Event Planning

Yadi apko achii events planning ati hai iske bare me apke pass achi knowledge hai toh aap invent planner ban sakte hai . iske andar apko koi bhi event ho jaise; party ya koi or program apko uske bare me logo guide karna hota hai ki kaise vah kaam kar sakte hai aur unki help karni padti hai jiske badle apko achaa commision milta hai.

8.  Home Based Franchise Business

Aaj bhut si company apni franchise business deti hai kuch paiso me apna product bachne ke liye . aur yadi aap thodi bhut securities bhar sakte hai. toh aap ek achii company ki franchise purchase karke uske product ko sale kar sakte hai . iske andar aap achee paise kama sakte hai wo bhi part time me .

9. Tuition Ya Coching Center

Yadi apko kuch subject ke bare me achi knowledge hai toh aap ek chota sa home based coching center open kar sakte hai. aur apki study ke bad evening time me coching de sakte hai kyoki aaj bhut se student achee number ke liye coching lete hai. aur aaj apko pta hai ek subject ke kitne rupee lete hai achee teacher . lekin apke andar achii teaching skills honi chahiye. tabhi aap kar sakte hai.

10. Domestic Call Center khol sakte hai.

Aaj bhut si company apne customer ki call attend karne aur unki swal ka jwab dene ke liye achee employee dekhti hai aur unhe yah bhi option deti hai ki vahe apne ghe se bhi kaam kar sakte hai toh yadi apke thoda bhut bachta hai study ke bad ya aapke achaa time hai toh aap apne ghr pe chpota sa domestic call center khol sakte hai.

11. Paid Research Assistant

Bhut se departments jaise  biology to chemistry, physics to engineering, psychology to sociology etc ke andar research hoti hai aur jo research karte hai unko helper ki jarurat padti hai islye aap research lab me kam kar sakte hai . toh apke liye yah ek achii part time job ho sakti hai.

12. Candle Making

Aaj candle ka business toh bhut se log karte hai. kyoki iske andar itni mhant aur investment ki jarurat nhi padti hai islie bhut se log yah business karte hai. aur iske andar aap part time me bhi kaam kar sakte hai. yadi aap koi part time business ya job dekh rahe hai toh apke liye yah bilkul shi business hai apke pas study ke bad yadi time bachta hai toh aap yah business kar sakte hai.

13.  Photographer

Yadi apko achii photo capture karni ati hai. aur apke pas achii photo capture karne ke liye achaa DSLR hai toh aap ek photographer ka kaam kar sakte hai . aap achee moment ki photo ki photo click kar sakte hai ya aap kis0i bhi event par photo click karke achee paise kama sakte hai yah kaam aapko kbhi kbhi karna padta hai.

 14.  Fitness or Yoga Studio

Aaj log apni fitness pe bhut dhyan dete hai . isliye vah fitness or yoga studio open kar sakte hai . iske andar koi investment ki jarurat nhi padti hai. lekin apko iski knowledge hona jaruri hai. tabhi aap dusro ko knowledge de sakte hai.

15. Jewelry Making

Jewelry making bhi aaj bhut sucessfull business me se ek hai . kyoki achee design ke bhut paise leta hai aaj koi bhi jeweler isliye yadi apko achee jewelry making ati hai toh aap jeweler ka kaam kkar sakte hai . aur ek home based choti si shop open kar sakte hai janha aap free time acchee design tyar kar sakte hai.

Online Part Time Jobs Ya Business

1. Blogging

Blogging sabse best part time job ya business hai online paisa kamane ka Aap Acha Paisa Lambe Time Tak Kma Sakte Hai aur  jyadatar log blogging ke dwara hi apne online career ki suruwaat karte hai. iske andar aap investment aur without investment Ke Bhut Paisa Kama Sakta Hain .  kyoki blog free me bhi ban jata hai aur thode paise lgake bhi blog bana sakte hai lekin apko  thodi si investment ke sath achaa bolg ya website start karni chahiye. blogging me aapko kisi ek topic par blog bana kar usko run karana hota hai lekin Iske Liye Aapko Writing Ke Sath us Topics ke bare me Knowledge Hona Chahiye chahiye jis topic ke uper apne blog bnaya hai  apko jis topic ke bare me achii knowledge ho tabhi aap us topic ke bare me  apni knowledge ko logo ko share kar sakte hai.

Lekin apko blog se ek dem se earning nhi mil sakti hai. aap shuru ke 6 mahine ya 1 saal tak jyada paise nahi bana payenge par ye wohi time hai jab aap ko patience se kaam lena hain.aur jab aapke blog par badiya tarffic aane lage uske baad aap google adsense yaa phir affilliate marketing ke dwara isse paise kama sakte hai. aap kisi bhi topic par apna blog bana sakte hai. aap apne intrest ke hisab se kisi bhi topic par apna blog bana kar online business start kar sakte hai. ye ek best idea hai online business start karne ke liye.

2. Youtube Se Paisa Kamaye

Youtube ke uper bhi aap part time kaam kar sakte hai. Youtube world ki top popular video sharing website hai. Aur per day lakho karodo log iss platform par video upload, share aur download karte hai. Youtube google ka hi product hai, jisse video dekhne ke liye banaya gaya hai. aur youtube Bahut Hi Popular option hai online paise kamane ka aapko ager videos bnane ka shonk hai toh aap youtube se achee paise kama sakte hai.Iss platform par aap bina kharcha kiye free me online earning kar sakte hai .

3. Affilate Marketing

Affilate Marketing ek bahut hi popular tarika hai online job ya business start karne ka. Agar Aap Thodi Mehnat Kar Sakte Hai To Aapke Liye Affiliate Marketing Best Option Hai Isse Aap Acha Paisa Kma Sakte Hai. Affilate Marketing ka meaning hai aap kisi product company se jud kar company ke product ki online advertisment karke ya  sale karke achaa commision le sakte hai. aap Affilate Marketing ke dwara bahut hi aasan tarike se acche paise kama sakte hai. aaj bhut si company affilate programing ki facilities deti hai . jaise Amazon ,Flipkart, snapdeal etc . aap  Affilate Marketing ke dwara in company ke product ko apne website par promote karke har mahine bahut hi badiya commision kama sakte hai.

Apko ye company apne product ke link provide karti hai unko ap apne blog ya website, facebook .etc ke uper share karke uski advertisment kar sakte hai aur jo visitor us link ke through jo product purchase karega uska apko commsion milega . Agar dekha jaye toh India ke kuch famous blogs apni sabse jyada income is Affiliate Marketing se hi kiya karte hain. kyoki iske andar apko kuch jyada nhi karna hota bus apko ek achaa sa blog ya website bnaye aur uske uper link share kare aap jitne adhik product ko sale karne me kam yab honge utna jyada apka commision hoga .

4. Seo Consultant

Yadi aap apna online job karna ya  business start karna cahte hai to aap Seo Consultant ka business suru kar sakte hai. Seo Consultant ka business start karne ke liye aapko acchi tarah se seo ki jankari honi cahiye. agar aapke pass acchi seo ki jankari hai aur aap seo me ek dum expert hai tab aap Seo Consultant ka online business suru kar sakte hai. Seo Consultant me aapko apne customer ke website yaa phir blog me seo ka setup karna hoga. yadi aap Seo Consultant business me success ho jate hai to aap iske dwara bahut high income har month me earn karege.

Iske andar aap jitna kaam karange utna jyada paisa kama sakte hai lekin aap ek dem se expert hone chahiye tabhi aap is business me success ho sakte hai. isliye Online Business Idea me Seo Consultant ka business ek accha idea hai.

5. Business Coaching

Aaj internet par bahut se aise log hai jo internet par  job ya apna business start karna cahte hai. aur unke pas koi ideas  nhi hota to vahe internet ke uper koi achee ideas dekhte hai . yadi apko busines ke bare me achii knowledge hai toh aap ek online Business Coaching bhi open karke online paise kama sakte hai. Business Coaching me aapko apne customer ko ye sikhana hoga ki ek online business ko start karke usko kaise successful banate hai. india me bahut se aise log hai jo online Business Coaching ke dwara apna business karke paise kamate hai. aap bhi aisa kar sakte hai. bus iske liye aapko online business ke bare me acchi jankari honi cahiye.

Aur aapke andar achii communication skills honi chahiye aur apke andar achee se koi bhi topic ki smjhane ki skills honi chahiye. aur ye bhi ek accha idea hai online business start karne ke liye.jis se aap achi earning kar sakte hai  aur aap ise part time bhi kar sakte hai .

6. Social Media Consultant

Social media consultant bhi ek best online job business hai . aaj Badi badi compnay apne product ko social media par promote karne ke liye logo ko hire karti hai. lekin jo small businessman hote hai woh apne business ki social media marketing nahi kar pate hai. agar aap Social Media Consultant ka business start kar de to aap small business ke social media marketing me help kar sakte hai aur uske badle me woh aapko pay karte hai. Social Media Consultant ka business start karne ke liye aapko social media marketing ki jankari honi cahiye. aap Social Media Consultant ka business start karke bhi bahut hi acche paise kama sakte hai.

7. Web Design Ka Kaam Kar Sakte Hai

Agar aapko Web Design  me expert hai to aap Web Design dwara  ke dewara achee paise kama sakte hai. internet par Web Design ka bahut hi demand hai. aur internet par online business karne wale sabhi logo ko Web Design ki jarurt padhti hai.  kyoki aaj har din bhut website banti hai aur unko design ke liye aur unki mantiance  ke liye achee expert ki jrurt padti hai  isliye yadi apko achii web designing ati hai to aap Web Design ki ek small compnay open kar de aur logo ko Web Design ke liye offer kar to ye ek bahut hi badiya online business sabit hoga.

Aur mai yakin ke sath kah sakta hu ki aapka business jarur success hoga. internet par Web Design ka business karne ka idea ek bahut hi badiya idea hai aur aap iska upyog karke apna online business start kar sakte hai. aur achaa paisa earn kar sakte hai .

8. App Develop Kar Sakte Hai

Yadi aapne App Development ka koi course kiya hai to aap iske dwara online part time job bhi suru kar sakti hai. bahut se aisi company hai jo apne business yaa phir dusare chizo ka App Development karne ke liye logo ko find karti hai. aap ek badiya website bana kar uspar App Development ka offer logo ko de sakte hai. ye ek bahut hi badiya idea hai online business start karne ke liye isme aapko apne customer ki jarur ke anusaar uska app develop karna hota hai. jab aap uske app ko puri tarah se develop kar dete hai tab woh aapko uss app ke badle me acchi payment dete hai.

kyoki aaj android phone ke andar app ka itna istemal hota hai isliye bhut se blogger apni website ki app tyar kerwa lete hai taki unki website ka jyada se jyada permotion  ho isliye aaj app developer ki demand bhut jyada hai  isliye kah sakte hai ki ye bhi ek accha idea hai online business start karne ke liye.aur achee paise kamane ke liye .

9.  Technical  Knowledge Provide Kar Sakte Hai

Aaj internet par daily bahut se new website aur blog bante hai. aur daily bahut se logo ke website me bahut se problem bhi aa jate hai aise me woh log kisi Technical Support team ko dekhte hai apne website ke problem ko door karne ke liye. toh yadi apko achii technical knowledge hai website ke bare me toh  aap ek Technical Support ki koi service start karte hai to aap iske dwara bhi online paise kama sakte hai. isme aapko dusare logo ki Technical problem ko solved karna hoga aur badle me woh log aapko payment denge.

Lekin apko blogger ko achii services deni hogi tabhi vahe apko achii payement denge . yadi aap aap customer ko satisfied  kar paye to vahe apko permanent apni website ki maintenance ke liye rekh lenge aur apko achii payment dange toh ye ek bahut hi simple idea hai apna online business ko start karne ka.

 10. Fiverr Se Acha Paisa Kama Sakte Hai.

Fiverr Ek Esi Site Hai Jahan Par Aap Apni Service Provide Karvake Ya Fir Ek Seller Banke 5 Dollar Se Le Kar Isse Jayda Paisa Bhi Kma Sakte Hai. Fiverr par aap ko “Gig” post karna hain.aap achee paise kama sakte hai .lekin apko  achii “Gig”  post karni  aani chahiye jis se apko unki achii kimat mile jitni achii post hogi utni achii kimat apko milegi.

11. Freelancer Writing Kar Sakte Hai

Yadi apko achii artical likhni ati hai toh Freelancer Writing bhi ek accha tarika hai online job ya business start karne ke liye. Freelancer Writing me apko kisi dusare website yaa phir compnay ke liye artical likhna hota hai. aur aapke har ek artical ke badle me woh log aapko paise dete hai. yadi aap ek achii quality  ki artical kisi dusare website ke liye likhte hai to woh aapko 500-600rs per artical ke de sakta hai. yadi aap internet par naye hai to Freelancer Writing ek best option hai online career ko suru karne ke liye.

kyoki apko ek achee se topic ke uper artical likhna hota hai . aur iske andar koi technical knowledge ki bhi jarurt nhi hoti hai . aur na koi investment ki jarurt haoti hai isliye kah sakte hai ki ye bhi ek accha idea hai. jis se aap achee paise kama sakte hai.

12. Social Media Marketing Ka Kaam Kar Sakte Hai.

Online Social Media Marketing bhi  ek best online job ya  business hai.  Badi badi compnay apne product ko social media par promote karne ke liye logo ko hire karti hai. lekin jo small businessman hote hai woh apne business ki social media marketing nahi kar pate hai. agar aap Social Media Consultant ka business start kar de to aap small business ke social media marketing me help kar sakte hai aur uske badle me woh aapko pay karte hai. Social Media Consultant ka business start karne ke liye aapko social media marketing ki jankari honi cahiye. aap Social Media Consultant ka business start karke bhi bahut hi acche paise kama sakte hai. kyoki aaj social mediya marketing ki demand bhut jyada hai .

13. Technical Freelance Jobs

Ye sabhi jobs ke liye aap ko technical skill honi jaruri hain jaise ki Web designing, Android development, Data Entry, logo designing, Translation, 3D modelling, SEO, SMO. etcAap ko yeh sab technical job alag alag industries ki job Upwork and Freelancer website par mil jayegi. Yeh sab website me free registration kar sakte hain hala ki is mein upgrade option rehta hain jo ki professional ke liye suitable hain.

Yeh website par job milna itna asan bhi nahi hain par aapne thodi jobs complete kar di aur 5 star rating maintain kar paye to aap ke liye is website par kam karna bahot asan ho jayega.  aapke kaam ke badle me woh aapko pay karte hai. agar aap Freelancer ka business start karte hai to aapko fiverr jaise website par se bahut se kaam mil sakte hai. aur aapke kaam ke badle me aapko accha payment bhi milega .apke liye yah ek achii part time job hai .aur aaj india me bahut se aise log hai jo Professional Freelancer ke dwara har mahine laakho rupay kamante hai..

14. Selling Your Own Products

Aap apne khud ke product ko bhi online sale kar sakte hai apne nya bnaya hai ya apke pas koi purana product ho sabhi ko sale kar sakte hai Toh Ye Aapke Liye Ek Accha Business Idea Hoga Jisse Aap Income Kar Payenge Or Sath Me Khud Apne Boss Honge . iske andar aapko jitna bhi profit hoga wo apka khud ka hoga . aur na kisi ke niche kaam karne ki jrurt pdegi aap apne hisab se kaam karengeLekin Uske Liye Internet Ki Madad Lekin

Hogi Jisme Aap Books , Helth , Lifestyle Product Bech Sakte Hain . yah bhi ek online best business hai  jiske andar aap achaa paisa kama sakte hai.

15. Photography sell krke online paisa kamaye

Agar aap par photography ka shonk  hai toh aap bhi online paisa kama sakte hai bahut si website hai jaha aap apni photo bech sakte hai agar aapki photo unique hai aur HD me hai toh bilkul aapko aapki photo ke achhe daam milege. jaise ki shutterstock ek platform hai jaha images ki boli lagti hai. agar aap soch rhe hai ki kya mai apni photo bhi bech sakta hu??

esa bilkul bhi nhi hota jo aapke pass unique image hai toh hi aapko paise milege. aapko iske liye ek camera chahiye jo high resolution ho like DSLR camera wagerah toh aap photography karke online paisa kama sakte ho.

Lkin apko ek dem achii or uniq photo click karni hogi jis se apki photo ke achee paise bhi mile . yadi aap koi chote mote camre se photo click kroge jo achii na ho to aap unhe sale nhi kar paoge aur yadi sale kar bhi paye to apko unki achii kimat nhi milegi isliye aap ek dem bdiyaa photo click kroge aur achaa paisa kamaoge.

Toh yadi aap ek student hai aur aap part time job ya business karna chahte hai toh aap inme se apke intrest ke hisab se koi bhi business ya job kar sakte hai.ummed hai hmare dewara di gyi jankari apke kaam ayegi aur jankari achii lage toh apne dosto ko bhi share kare.

Related Articles

2 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button