Samanya Gyan

Share Market Me Invest kaise kare Aur kaise Paise kamaye

Share Market Me Invest kase kare Aur kase Paise kamaye

Share market ke baare mein toh apne jaroor Suna hoga kuch logo ko toh iske baare mein achi Tarah pata hai Lekin aap ko iske baare mein nahi pata hai toh aaj Hum batate Hain Ki share marketing hoti kya hai Aaj share market Ke andar investment Karte kyoki share market mai invest krke achaa Paisa kaise kamaya ja saket hai.Aaj log alag alag Tarah Se paise Kama rahe hai koi job kar ke Koi apna business Karke Sabhi logon ka paise kamane Ka Tarika alag hai aur share market bhi paise  kamane ke tarike me Se ek Hai share market ek Tarhe ka chota sa business hai.

Share market ke andar company ke share ki selling or purchasing ki Jati Hai.share market ke andar Jab Koi company Apne share issue karti hai Tu bahut se investor unhe khareedte hai. aur phir share ki selling aur purchasing shuru ho jati hai. Ab company ke shares ki keemat kabi ghati hi to kabi bhadi rehti hai.Kyonki jis hisab se company ki performance hoti hai Usi sabse Share Ki Keemat uper niche hoti rehti hai. Share ek company ki capital ka hisa hota hai jise company jari karti hai. Jab Koi investor company Ke Share kharida Hai .to vahe company ke andar apni partnership kar leta hai.aur fir company  ke andar profit hoga toh hai investor ko profit hoga

Isliye is business me risk bhi bahut Hota Haiaur share market  ak aeesa business Hai Jis Ke Andar bahut Sare log toh bahut paise kamate Hain aur bahut Sare log paisa  lutaa bhi dete Hain.toh Sabhi investor ko share market ke andar Soch Samajh Kar Hi Apna Paisa invest karna chahiye Yadi kisi bhi investor ko share market ke baare mein Itni Jankari nahi hai toh usse jaldi se share market ke andar investment nahi karni chahiye |

1. Share Market MaiShare kaise kharide

Sabse Pehle Aap Ko Bata De  Ki share market ke andar business karna chahte hain toh aapke paas aapka PAN card hona zaroori hai.

Share market  ke andar share kharidne ke liye  sabse phale Apko ak demate account ki zaroorat hai .Is account kai dwara he aap share ko kharid sakte hai or bache bhi. Demat account aap Kisi broker se  khulwa sakte hain Aaj bahut share broker market Kanda broking ka kaam karte hain JasseAngel Broking, Share Khan, ICICI Direct, Reliance Money, Kotak Security,HDFC Secutity  etc.  Jis Tarah aap bank account ke andar aap apne  paise rakhte Hain Usi Tarah Demat account ke andar Aap Ke Share Rakhe Jate Hain .

Aur demat account se hai share ki selling or purchasing hoti hai .or Demat account ke sath aap ka saving account   account add Hota Hai isliye Demat account Khulwane ke liye aapka savings account Hona zaroori hai Yeh Dil Aapke Paas aapka savings account nahi hai to aap Demat account nahi khulwa Sakte.

Aap Ko Bata Denge bahut se bank bhi brokers ka kaam karte hain lekin aapko Kisi professional broker sehi Demat account khulwana chahiye kyoki Taki vahe broker share marketing me aap ki help kar sake. lekin vahe broker aapko suggest karne ke liye Thode Se paise toh Jarur lega lekin aapko munafa usse Bhi Jyada hoga

Broker stock exchange ke agent Hote Hain.India main do main stock exchange hai Jahan  share kharide or bache Jaate Hain  (BSE) Bombay Stock Exchange aur ek (NSE) National Stock Exchange yeah he do main stock exchange Hai .aur broker stock marketing Mein apko share ki trading karwate hai.Kyonki broker Ke Bina stock marketing made  share ko kharidna aur bachna Bada Mushkil kaam hai isliye broker aap se Thode Se paise Lekar aapko stock marketing Mein trading karwate Hain

Aur aapko stock marketing Mein trading karte huye bahut Ye Soch Samajh Kar fasle Lene chahiye ki kab aap ko Share kharidna hai aur kab aapko se bachne hai   Kyunki Thodi Si Galti Ke Karan apko badi kimt chukani pad sakti hai.

Stock market ke andar kab share kharidne chahiye aur kab bachne chahiye

2. Stock market ke andar kab share kharidne chahiye aur kab bachne chahiye

Yadi aap real mein stock marketing ke andar Apna business karna chahte hain toh aap ko din bhar business ki news dekhni chahiye aap ko din bhar market se Judi activity par Dhyan Dena chahiye. Taki aap Yahe antaja la ske ki kis samye  share kharidne chahiye aur kis Samay se bachne chahiye, apko bta de ki Share kharedna kai liye sahi time hai Jab share market niche ja  raha ho tab aapko shareon ko kharidana chahiye. Is say apko share saste rate mein or kaafi mil jaayenge Or jab bhi share markret uper ho tab aap share ko bache de.
Share market me trading ka time

3. Share market me trading ka time

Share market main trading ak mein 5 din  hoti hai Monday se Friday Tak aur Share market subah 9 baje khulta hai aur shaam ko 3:15 minute par band ho jaata hai. Saturday or Sunday share market band rehti hai .
To yadi aap stock market ke andar business karna chahte hain toh aapko stock market ke baare mein achi information honi chahiye aur aapke paas itna Paisa hona chahiye ki aap stock market ke andar acchi investment Karke  suruat mein thodi investment stock market ke andar karne chahiye Kyunki aapke paas us Samay Na Tu Itna experience Hota hai aur nahi aapko stock market ke baare mein Itni Jankari hoti hai.
Best Share Market Tips in Hindi

4. Best Share Market Tips in Hindi

1Yadi aap phli bar share market me investment karne jaye to aapko suruat me bahut hi kam investment karni  cahiye. aur jab aap expert ho jaye aur aapke paas achha experience Ho Jaye to apna investment dheere dheere jyada karte jaye aisa karne se aap share market  ko achee se jaan sakte hai. Aur phir bhi aapko profit Hona shuru ho jaye toh aap badi badi investment karna start kar sakte hain |

2. Bahut se log Share Market me investment karte hai lekin phir bhi isme fail ho jate hai kyoki woh sahi chiz me investment nahi karte hai. bahut aisi stock hai jo acchi tarah se kaam kar rahe hai. agar aap share market me investment karna chahte hai to ek baat ka aapko dhyaan me rakhni hogi ki share market me aapko kisi bhi chiz ki kisi bhi prakar ki koi guarantee nahi di jati hai. yaha par aapko kisi bhi chiz ki koi garanti nahi de sakta hai.aap jis company Ke Share Mein investment Karte Hain usi company ke profit or loss ke upar sab kuch depend karta hai. Isliye iss baat ka dhyaan me rakh kar share market me invest kare ki aapko yaha par kisi bhi chiz ke wapsi ki koi garanti nahi Milegi. isliye isme risk hota hai.

3. Share market me invest karte time aapko nuksaan bhi ho sakta hai kyoki  share market mein aap jin share ke andar Apna Paisa invest Karte Hain unka rate kabhi bhi kam  aur kbhi jyada hota hai. yadi aap apne time ke according apne buy kiye hue share ko nahi sell karte hai to aapko bahut jyada nuksaan bhi ho sakta hai   isliye  aapke share ka rate buy kiye  kiye gaye rate se jyada ho jaye to aapko turant apne share ko sell kar dena cahiye. aksar log lalach me aakar share ka rate ko aur badhne ka wait karte hai jiske karan kabh kabhi share ka rate ekdum kam ho jata hai jisse unko kafi nuksaan hota hai isliye share market me kabhi bhi lalach naa kare jitna milta hai utna lene ki kosish kare. kyoki share market me thoda thoda hi profit se achaa paisa kmaya ja sekta hai.

4. Yadi aap share market me business karna chahte hai to aapke pass share market  me busniess kerne ki art honi chahiye . aur jab bhi aap suruat me  share market me investment karne jaye to sabse pahle aap market ki Technical analysis jarur kar le. aur ye bhi pata kar le ki market me kisi chiz ki dimand jyada hai. Technical analysis ek aisa funda hai jo aapko market me kya chal raha hai uske bare me sahi details deta hai. isliye share market me invest karne se pahle market ki Technical analysis jarur kar le taki apki investment me risk kam ho jaye.

5. Investor ka share market ke uper koi control nhi hota hai . to apko risk lekar  hi share market me business kar sekte hai isliye yadi aap risk lekar share market me bhuniess nahi karege tab tak aap isme safal nahi hoge kyoki ek khuawet hai more risk more gain, isliye risk lene se naa dariye Aisa nahi hai ki aap share market me apne pahle hi investment se paise kamana suru kar de aisa bhi ho sakta hai ki aapke dwara kiya gaya first investment me nuksaan ho  jaye lekin agar aisa hota hai to aapko haar manane ke bajaye ye sochta cahiye ki aakhir humne galti kaha ki aur apne dwara kiye gaye galti ko sudhar kar phir se kosish kare  aapko success jarur milegi. bar aap apni phli galti ko dhyan me rakhe.

6. Share market me bahut se risk wale kaam hota hai lekin  aapko is baat ka Dhyan Dena chahiye Ki Ap jis company Ke Share Mein investment kar rahe hain woh company trusted over achi Goodwill wali honi chahiye kyoki aksah share market me aisa hota hai ki hum jiss company me invest karte hai woh company hamare sare paise lakar bhag jati hai. isliye share market me invest karne se pahle aapko uss compnay ke bare me puri tarah se information pata kar le aur jab har ek information sahi ho tabhi usme invest kare. agar aapko kisi bhi company ke bare me thodi bahut bhi doubt ho to aap uss compnay me kabhi bhi invest naa kare. kyoki apko ye lge ki company ka records achaa nhi hai to bhi invesment krenge to aap nuksaan ki or jayenge|

7. Yadi aap TV ke upar Koi Business channel dekhte hain toh Apne Jarur Dekha Hoga Ki Share ka rate din bhar kaam Jyada Hote Rehta Hain Bahut se  log risk se bilkul hi darte hain aur Unhe yah lagne lagta hai ki share ka rate Girne Laga Hai vahe Apne Sare Share sale kar dete Hain lekin  aisi koi baat nahi hai kyoki share market me daily kuch naa kuch hota hai. aur share market ek long term business hai isliye isme aapko dar ke sath sath dimak ka bhi isemaat karna cahiye. or thod bhut risk lena chaiye |

Hme umeed hai ki hmare devara btai gyi share market ke bare me jankari apke kaam ayegi .or yadi jankari achi lge to share kare or yadi kuch puchna ho to comment kare.

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button