Samanya Gyan

प्रिंटिंग प्रेस उद्योग Printing Press Business Kaise Start Kare Jnakri Hindi Me

प्रिंटिंग प्रेस उद्योग Printing Press Business Kaise Start Kare Jnakri Hindi Me

Aaj Printing Press ka Business kuch achee profitable business me se ek hai  ek low investment se staring kakre ek large scale tak ise business ko chalaya ja sakta hai aur yah ek aisa business hai jisme bhut si chijo ki printing ki ja sakti hai jaise; apne dekha hoga ki kisi ki saddi me invitation card printing karwaye jate apne relative ko dene ke liye aur koi bhi shop ka malik apni shop aur business ke visiting card jarur rakhta hai aur bhut se bade bade banner lagaye jate hai toh bhut sa kaam hota hai printing press ka aur yah ek bhut achaa business hai yadi kisi ke pas ek choti investment hai aur vahe apna khud ka business karna chahta hai toh vahe printing press ka business kar sakta hai.

Aur iss business ke age scope bhut jyada hai kyoki india ke andar printing press ka business bhut jyada growth kar raha hai  ek data ke according india  Print Volume me 2018 tak world me 5th number pe hoga aur printing press me jyada kuch karne aur investment ki jarurat nhi hoti hai kuch machino aur ek achaa bada room ke sath yah business chalu kiya ja sakta hai Aaj hme iss artical me btayenge ki printing press ka business kaise start kiya ja sakta hai aur printing press business ke liye kya kya chahiye aur kitni investment ki jarurat padegi.

Printing Press Business Ke Liye Kya Kya Chahiye

Yadi koi bhi person Printing ka business karna chahta hai toh bss kuch chije khride aur business start kare to dekhiye printing business ke liye kya kya khridna padega.

1. Computer

Printing press business ko start karne ke liye apke pass ek computer hona chahiye kyoki computer se desgin teyar karke hi printing ki jati hai aur apko computer bhi chalana ana chahiye aur desging softwere chalne ane chahiye bhut se design softwere hote hai jaise coreldraw ya pagemaker inme koi bhi softwere ka istemal karke desging ki ja sakti hai ak accha computer printing press business ke liye Rs.20000 se Rs.25000 rs ka mil jayega.yadi apko computer nhi chalana ata hai toh aap uske liye ek oprater bhi rakh sakte hai.

2. Printer

Computer ke bad printing business start karne ke liye apke pass ak laser printer bhi khridna padega printer se hi koi chij paper pe print hogi aur printing business me printer ka sabse important role hai kyoki computer me corel draw par banya gaya matter bahar butter paper par print kar sakoge isliye ek achii company ka printer lena chahiye aur yadi aap printing press ka kam large scale pe kar rahe hai toh bade size ki flex press machine purchase karni padti hai jo banner bane ke liye kaam ati hai. aur ek achii company ka printer printer apko 8000rs me mil jayega

3. Printing Material

Printing Material vo chjije jo printing karne ke liye istemal ki jati hai jaise; butter paper, printing screen frame, bicromate,nitro, printing ink, printing rubber, super coat, bleeching, glass 1.5×3 feet, marriage blank card” etc. yah sab chije printing karne ke liye kam ayegi inke bina kaam nhi chal sakta hai aur sab chije ek achii company ki khride kyoki customer ko achii chij provide karenge toh jyada se jyada customer ayenge aur achaa business chlega.

Ek bat apko pahle bta dete hai yah ek chote level ke printing ke business ke liye hai yadi aap ek large scale pe printing ka business karna chahte hai jaise bade bade banner printing karne wala toh apko achii badi badi flex printing ,machine kharidni padegi aur achii quality ke computer ki jarurat padegi.  kyoki printing ka business bhi bhut parkar ka hota hai jaise ;Xerox/Paper printing, Textile printing, wallpaper printing, cardboard box printing, flex printing etc.sabhi ke liye alag alag chijo ki demand hoti hai .chote level ke business ko apne ghar pe bhi kiya ja sakta hai lekin ek bada business ek achii city ke andar hona chahiye. niche ek large scale ke business ke bare me bhi btaya gya hai.

Printing Press Business Ko Start karne ki Process

Printing press ka business ek aisa business hai jisko koi bhi person apne ghar pe bhi start kar sakta hai lekin iske kuch  national / state  level rules hote hai chote business ke liye koi bhi  license ki jarurat nhi padti hai lekin fir bhi is se related deparment se iske bare me bat karni chahiye.

1. Sabse Pahle Demand Wala area Research Kare;-

Printing press ka business bhut se type ka hai toh Printing press ka business start karne se pahle uss area ka research kare jisme printing ka business lagan chahte hai yah pata kare ki use area me kis printing ki jyada demand hai jaise yadi vanha clothes ki printing hoti hai toh apko Screen Printers ki jarurat hogi yadi banner ki printing ki jyada demand hai toh flex machine ki jarurat hogi yadi Large scale me  document ki printing hogi toh Offset Printing  machine ka istemal hoga  aise apko pahle use area ki demand ka pata lagana hai achee se use area me researches kare.

2. Municipal Corporation Se License Le

Aap jis area me printing business start karne ja rahe hai use area ke municipality, the municipal corporation,  ya  village panchayat,ya development section, etc sabhi ke office me jaye aur pta kare ki use area me printing press ka business lagane ke liye kon sa license ki jarurat padegi aur aur kya kya rules condition hai aur sab kuch pta karke license ke liye apply kare aur apko pahle btaya ki small scale business ke liye koi license ki jarurat nhi padti hai.yadi business large scale pe karna chahte hai toh license ke sath business start kare.

3. Business Ka Name Register Karwaye

Koi bhi business start kare uska naam toh pahle hi soch liya jata hai aur yadi use naam se business achaa populer ho jata hai toh bhut se log uss naam ka istemal karke vahe business start kar lete hai isliye jis naam se business start kiya hai uska Registrar of companies ke office me jake Register karwa le taki uss naam ka koi bhi aur istemal na kar sake.

4. Shop Rent Le Ya Apne Home Pe Business Satup Kare

Yadi apke pass jgah achii khali padi hai toh yah business apne ghar bhi start kar sakte hai lekin yadi apke pass ghar pe jgah nhi hai toh apko shop rent pe leni hogi jiske andar sab machine aur computer aur row material ko achee se rakh sake.

5. Computers and Machinery Purchase Kare

Printing business start karne ke liye agla step Computers and Machinery Purchase karna hai kyoki inke bina toh kuch ho hi nhi sakta hai aur machinery aur computer business ke according khridni padegi kyoki printing ka business bhut se type ka hai jaise   Xerox/Paper printing, Textile printing, wallpaper printing, cardboard box printing, flex printing etc.toh apne jo bhi printing ka business lagya hai uske according sabkuch achii shop se khride aur achii quality ki Machinery Purchase chahiye kyoki unki long life hoti hai aur achii machine hi achaa kaam karegi.

6. Printing Business Ki Marketing Kare

Yah last step hai printing business start karne ka iske bina koi business jldi se sucess nhi hota hai isliye  Printing business ko success karne ke liye Marketing toh karni padegi.aur printing karne ke liye aap aas pedos me apan circle badhaye aur apne target custmer ko apna visiting card jarur provide kare aur bhi bhut se trike hai marketing jaise business name se website  bnaye aur uspe pure business ki jankari provide kare aur aur ek achii marketing Strategy bnaye.

Toh koi bhi person iss trah ek printing press ka business start kar sakta hai yah ek low investment business hai.isliye apko thodi bhut investment toh karni padegi.

Umeed hai hmare dewara provide ki gyi jankari apke kaam ayegi aur jankari achii lage toh apne dosto ko bhi share kare aur comment kare.

Top Searches;-  प्रिंटिंग प्रेस जानकारी ,प्रिंटिंग प्रेस उद्योग ,स्क्रीन प्रिंटिंग कैसे करे ,ऑफसेट प्रिंटिंग ,ऑफसेट प्रिंटिंग के काम की व्याख्या प्रिंटिंग प्रेस मशीन ,प्रिंटिंग उद्योग स्क्रीन प्रिंटिंग करने का तरीका,how much does it cost to start a printing business ,how to start a printing business at home ,printing press business ideas ,flex printing business investment ,starting a printing business from your garage ,digital printing business ideas ,printing press business plan sample ,printing business equipment etc.

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button