Samanya Gyan

Forex Trading Kya Hai Yah Kaam Kaise Karta Hai Puri Jankari Hindi me

Forex Trading Kya Hai Yah Kaam Kaise Karta Hai Puri Jankari Hindi me

Aaj bhut se log investment karte hai kyoki sabhi profit lena chahte hai . aur sabhi log alag alag reason se investment karte hai koi fature ke liye investment karta hai koi apne business ke liye investment karta hai lekin sabhi chahte hai ki vahe ek safe jagh investment kare taki unki investment safe rahe sabhi ki soch alag alag hai koi risk jyada utha leta hai kyoki  unko jyada profit jyada  lena hota hai aur kuch bhut kam risk ke sath kam profit se satisfied ho jate hai . aaj investor ke pas investment ke bhut se option hai unme se ek Forex Trading bhi hai jiske andar achaa profit bhi milta hai or risk bhi jyada hota hai.

Forex Trading ek online investment option hai . aur isme  foreign currency me investment hoti hai. Jahan pe apko investment karna padhta hai. Foreign currency ko hum ek trahe se online investment business kahe sakte hai. Jo paise hum Forex Trading me invest karte hai. Un paise se hi humko profit hota hai.  aur Foreign currency Trading me bahut se aise rule hote hai jiske bare me humko isme invest karne se pahle jaan lena chaiye. Foreign currency Trading me bhut kam log investment karte yhai   . Kyoki Forex Trading risk jayde hota hai.  aur koi bhi nhi chahta hai ki  business me koi risk ho lekin iske andar bhut jyada risk hota hai Isliye  yadi aap iske anda investment karna chahta hai  to apko iske bare me puri jankari lene ka baad hi invest karna chaiye. aur Forex trading me logo ko accha profit milta hai.

Bahut se aise log bhi hai jo sochte hai ki Forex Trading ek scam business hai. Forex Trading koi scam business nahi hai aapko isko start karne ke liye thode bahut rule ko follow karna hoga.

Forex Trading Kya hai

Forex Trading ek tarah se exchang currency hota hai. iske andar  foreign currency me business hota hai. forex market 1875 ke aas paas  start hua tha aur 1944 me sabhi country ne milkar ek naya rule banaya aur uss rule ke anusaar U.S.A. ki dollor currency ko depending Money ke roop mr rakha gaya.  aur Time to time isme aur bhi bahut se changing hone lag  aur 1990 me Forex Trading aaj upyog hone wale bada electronic market start hua. aur apko bta de ki Forex Trading ka profit us currency kr market rate par depand karta hai  aap jis  currency me Forex Trading karte hai aur aap  currency par trade karte hai aur uss ka price jab international market me kam yaa phir jyada hota hai to uske hisab se apko profit  yaa phir loss hota hai.

Currency buy  aur selling ko Forex Trading khate hai. iske andar online business hota hai isliye aap online ke dwara kisi bhi currency par trade kar sakte hai. aur baad me aap usko acche price par sell kar sakte hai. aap Forex Trading apne ghar par baith kar apne computer ke dwara kar sakte hai.

Aaj India me bahut se aise log Forex Trading se acche profit  lete hai  india ke sath sath world ki bhut se country me bhi log Forex Trading me invest karke accha profit kamate hai. bahut se aise log bhi hai jo sochte hai ki Forex Trading ek scam business hai.  lekin apko bta de  ki Forex Trading koi scam business nahi hai aapko isko start karne ke liye thode bahut rule ko follow karna hoga. bahut se aise log bhi hai jinko Forex Trading ke bare me thoda bhi gyan nahi hai.

Yha par aaj apko Forex Trading ke bare me kuch achii jankari denge jaise, aap kase Forex Trading se kaese achaa commision le sakte hai

Forex Trading Kaam Kaise Karta Hai

Yadi aap Forex Trading me investment karne me intrest rakhte hai. aur apko iske bare me kuch nhi pta to aap thodi bhut knowledge ke bina iske andar investment na kare toh aaj ham apko btayenge ki Forex Trading kaam kase karta hai . aur aap isme kis  tarah se invest kar sakte hai. Forex Trading me invest karne ke liye sabse pahle aapko ek badiya, papular aur trsuted Broker  ko dekhna hoga uske baad aapko wahan par apna ek acount open karna hoga. acount open karne ke baad aapko apne paise ko wahan par deposit karna hoga. jiss  broker ke wahan par aap acount open karange wah broker market ke anusaar aapke paise ko trade karega. aur uske uper hone wale profit ke hisab se apko profit dega .

Yahan par  sabse dhyan dene wali bat ki  aaj market me bahut se aise compnay, website yaa phir broker fake hote hai. isliye aapko trade karne wali compnay yaa phir broker choose karne se pahle acchi tarah se resaerch karne ke baad hi join karna cahiye. fake company yaa phir broker se hmesa doori banaye rakhe. Is sabhi chizo ko dhyaan me rakhkar aap Forex Trading me aap apne paise ko invest kar sakte hai. jis se apki investment bilkul safe rahe .aur aap ek aesa broker ko select kare jo apko achaa guidance kar sake .

Forex Trading Ke Liye Major Currency

pair                   country                   currency            nick name
USD               UNITED STATE         dollar                 buck
EUR                eur zone                      euro                    fiber
JPY                 japan                           yen                      yen
AUD               austrilea                     dollar                aussie
CHF                sawitzerland             france               swissy
NZD               new zelande              dollar                kiwi
GBP                greate britain             pound              cable
CAD                canada                        dollar                 loonie

Forex Trading Se Paise Kaise Kamaye

Forex Trading Me Success hone ke liye sabse pahle aapko Forex Trading ke bare me achii knowledge  honi chahiye aur  iske sath aapko ek achaa working plan bhi banana hoga.  aap apne plan par achaa work kare . aapko ek aisa broker  dekhna chahiye  jiske sath aapko badiya feel  hota ho. iske sath sath hmesa market par apni najar banaye rahe. bina market ka research kiye trading naa kare. trade karte samay kabhi bhi uljhan me naa padhe. apne har ek trade par pura dhyaan rakhe. yadi aapko starting ke trade me fayda naa mile to ghbraye mat balki apni galtiyo se sikhe aur agle baar puri taiyari ke sath trade kare. apne gusse par kabu kare aur  patience bnaye rakhe .

Aur har ek weak me apni puri trading ko acchi tarah se study kare. aur usse kuch na kuch sikhne ki kosish kare. yadi aap trading kar rahe hai to fayde ke sath sath nuksaan ke liye bhi  tyarr rahe. apne borker se hmesa baat karte rahe aur market ki har ek condition ke bare me puchte rhe. taki aap time ke hisab se shi moka dekh kar investment kar sako aur achaa commision earn kar sako.

Aur kuch log mante hai ki Foreign currency Trading india me illegal hai  lekin aaj hm apko bta de ki aap sabhi rules ko follows krke trading karte ho to India currency me Trading karna legal hai. Yadi aap indian borker ke sath NSE, BSE, MCX, Jaise indian Exchanges ke sath trade karte hai to ye puri tarah se legal hai. Lekin RBI ke Guidelines ke anusaar margin trade ilegal hai. Yadi aap indian currecy me trading karna cahate hai to aapko RBI ki puri guidelines ko acchi tarah se padh lena cahiye, taaki aane wale time me aapko kisi bhi tarah se kisi problem ka samana naa karna padhe. au aap aassani se tading kar sako.

Advantages Of Forex Trading

  • Forex Trading ke andar koi commission nhi hota hai jaise na clearing fees, na exchange fees, na government fees etc.isliye isme profit achaa hota hai.
  • Iske andar lot ka soze fix nhi hota hai aap apne hisab se own lot, or position size select kar sakte hai .
  •  Iske andar retail transaction cost normal market conditions me 0.1%  hoti hai .
  •  Yah 24-hour ki market hoti hai iske andar apko opning bell ka wait nhi karna padta iske andar aap apni trading ka time select kar sakte hai .jaise   morning, noon, night, during breakfast,  etc.
  • Foreign exchange market ka size bhut bada hai iske andar bhut participants hai .jo market price ko control karte hai .
  • Forex market  bhut jyada liquid hai iska yah fayeda hai ki iske andar trading karna bhut assan hai .

Umeed hai ki  aapko hamari ye jankari pasand aayi hogi agar aapko jankari pasand aye toh apne dosto ko bhi share  kare .

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button