Samanya Gyan

Aeroplane Ka Aavishkar Kisne Kiya  

Aeroplane Ka Aavishkar Kisne Kiya

Aeroplane ya vayuyaan ek yaan hai. Jo hawa me udta hai.Or ek jagah se dusri jagah tak jata hai. Vaise to kaha jata hai. Ki modern Aeroplane ko sabse pahle Wright brothers Orville or Wilbu ne banaya tha.  Or 1903 me 17 December ko unhone apne Aeroplane ka testing kiya pahli usan Orville ne ki Usne apna Aeroplane 36 meter ki unchai tak udaya. Isi yaan ne dusri udan Wilbu ne ki usne hawa me lagbag 200 feet ki unchai  tay ki . 3th  uadan phir Orville ne or 4th or last udan phir Orville ne ki usne 850 feet ki duri lagbag 1 minute me tay ki.

Yah engine wale Jahaz ki pahli udan thi. Uske baad naye naye tarike ke aeroplane banne lage. Par yah sach nahi hai. Kyonki  kaha jata hai. aaj ke time ka pahla Aircraft Shivkar Bapuji Talpade 1864- 1916 ne banaya gaya tha. Jo ki Mumbai ke rahne wale the.  Or Pathare Prabhu community  Member the. 

Shivkar ji Sanskrit or Vedas  ke mahan gyata the. Unhone us viman ka name Marutska Marut Hawa , Vayu ka arth dost rakha. Marutska word ka istemal Rig Veda 7.92.2 me devi Saraswati ke liye use huaa hai. 1895 me unhone is viman ka  Successfully launch kiya or 1500 feet ki unchai tak udaya inki rachna ka mukhy aadhar Maharshi Bharadwaj rachit viman sastr tha.

Lekin kya huaa ki English ki ek company thi. Uska name tha. ‘Ralli Brothers’ vo aayi Palpade ji ke pass or Palpade ji ko kaha yah jo viman aapne banaya hai. Iska Drawing hame de dijiye. Drawing ne kaha ki uska karan bataiye to unhone kaha ki ham aapki madadt karna chahte hai. Aapne yah jo aavishkar kiya hai.Isko sari duniya ke samne lana chahte hai.

Aapke pass paise ki bahut kami hai. Hamari company kafi paisa is kaam me laga sakti hai. Lihaja hamare sath aap samjota kar lijiye. Or is viman ki design de dijiye. Palpade ji bhole bhale sidhe sadhe aadmi the. To vo maan gaye or uski company ke sath samjota kar liya. Us samjot me Ralli Brothers  jo comany thi. Usne viman ka jo model tha.

Unse Drawing  le li or design le li or usko le kar yah company London chali gayi or London jane ke baad us samjote ko wo bhul gayi. Or wo Drawing or wo design phir America pahunch gayi. Phir america me Write Brothers  ke hath me aa gayi. Phir Write Brothers  ne wo viman bana ke apne name se sari duniya me register kara liya.

Lekin aaj books me yahi ki aeroplane ka aavishkar Write Brothers ne kiya tha. Aaj duniya me bahut si company in modern viman bana rahi hai. Ki kuch time pahle ham usne ke bare me soch bhi nahi sakte the.

Yah jankari aap  ko kaisi lagi Niche comment karke hame bataye. Agar aap ko is post ke bare me kuch or janna ho to aap comment karke puch sakte hai. Yadi aap ko yah post pasand aaye to share karna na bhule.

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button