Samanya Gyan

Transistor Ka Aavishkar Kisne Kiya Or Kab Kiya  

Transistor Ka Aavishkar Kisne Kiya Or Kab Kiya

Transistor ek Semiconductor electrical equipment hai. Jise Electrical power ko badhane ya kam karne ke liye istemal kiya jata hai. Transistor ka istemal kisi bhi Electronic circuit ke andar bahut sare kaam ko sahi tarike se karne ke liye kiya jata hai. Lekin Transistor ka jyada istemal application ke liye kiya jata hai. Or transistor kisi ek bahari circuit  ke liye condition ke liye kam se kam 3 Terminal hote hai. Transistor ke andar Terminal kisi ek jodi me Current dalne par other transistor ki jodi me current badal jata hai. Kyonki control power (Production) power control (input) power ki tulna mejyada ho sakti hai. Kyonki output input ki power se jyada ho sakti hai. Or transistor signal ko bada sakta hai.

Transistor ka istemal chote or saste radio , calculator or computer sahi other Electronic Components me kiya jata hai. Or transistor ne Electronics ke Field me revolution la di hai. Pahle transitor ka istemal bade paimane par kiya jata hai. Ki yadi transistor na hota to ham sabhi computer ya ki Electronic device ke andar itni jyada speed nahi prapt kar sakte hai. Jitni speed aaj ke time me kisi bhi Electronic circuit ke andar mil rahi hai.

Or yadi transistor na hota kisi bhi Electronic circuit ko banna ki imagination bhi nahi ki ja sakti thi. Or transistor ka isstemal kai tarah se hota hai. Ise Switch, regulator, signal modulator, insulator aadi ke roop me kaam me laya jata hai. Or jo kaam pahle Triode se kiye jate the. Ve sabhi aaj transistor se kiye jate hai. Transistor ke 3 sire hote hai. Jinke name Base, collector or ammeter bhi hote hai. Or transistor bhi alag alag tarah ke hote hai. Jinka istemal circuit ke kaam ke anusar kiya jata hai.

Transistor Ka Aavishkar

Sabse pahle 1909 me Physicist William Eccles ne Crystal diode ki khoj ki or phir Physicist Julius Edgar Lillenfeld ne 1925 me Canada me Field-Effect Transistor ka patent dayar kiya or usi tarah device ke liye Lillenfeld ne 1926 or 1928 me United States me ek jaise patent dayar ki lekin Lillenfeld ne apne Equipment ko prkasit nahi kiya or phir usi tarah device ke liye 1934 me German inventor Oscar Heil ne  Europe me patent kiya.

Pahla Practical roop se kaam karne wala device 1947 me American physicists John Bardin, Walter Bratain or William Shockley dwara aavishkar kiya gaya jo ki ek Point contact transistor tha. is transistor ne Electronics ke filed me kranrtikari changes kiya.

Or Shockley, Bardin or Breton ko sanyukt roop se 1956 me physicist me noble prize se Respected kiya gaya unki ek transistor effect ki unki khoj ke liye.

Or Bell Labs William Shockley dwara pahli bipolar junction transistor ka aavishkar kiya gaya jo 2 June 1948 ko patent ke liye aavedan kiya gaya or Bell Lab ne 4 July 1951 ko ek Press conference me is naye “Sandwich” transistor ki khoj ki  Declaration ki thi.

Or pahla High frequency transistor 1953 me Philco dwara Developed kiya gaya. Yah Germanium transistors tha. Jo ki 60 MHz tak ka Operations karne me capable tha. Or 26  January 1954 ko Maurice Tanbebauam Bell Labs me pahla kaam Silicon transistor developed kiya tha.

Or pahla “Production” All-Transistor Radio October 1954 me  Regency TR-1 tha uske baad to phir electronics ki duniya me transistor ka istemal badhata hi gaya or aaj transistor ke bina koi bhi electronics circuit banana lagbag  Impossible hai.

Agar aapko is jankari ke bare me kuch or janna ho to ap niche comment karke pucch  sakte hai. Or yadi aapko yah jankari pasand aaye to share karna naa bhule.

 

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button