Samanya Gyan

Share Market Me Achaa Profit Earn Karne Ki Best 10 Tips

Share Market Me Achaa Profit Earn Karne Ki Best 10 Tips

Share market ke bare me to apne suna hoga .share market me bhut se log investment karte aur bhut paise kamate hai . lekin apko bta de ki share market jke andar jitna paisa bnana assan hai utna hi paisa khona bhi assan hai . lekin yadi koi nya nya share market ke andar investment karta hai  to thodi jankari ke sath achee paise kama sakta hai aur paise ko khone se bach sakta hai lekin iske liye apko share market ke andar investment karne se phle puri jankari le aur dusro ke khane par na jaye  kyoki share market ek bhut khternak market hai .jhanha bhut se lo suessfull ho pate hai. isliye is market me utrne se pahle apko iske bare me achii jankri le . aur apko iski jankari lene ke liye jyada Talent or ability ki jarurat nhi padti hai iske liye apko thodi si knowledge ke sath achii jankari le sakte hai.

Lekin apko bta de ki aap share market me investment karke achee paise kama sakte hai kyoki yadi  Aaj Agar income mein se aap paise bacha lete hai to yeh achchi baat hai. kyoki wo apke fature me kaam ayega lekin aap paise ko aise hi savings account mein pade rehne denge to paise depreciate honge. Is ka karan hai ki savings account ka interest rate itna kam hai aur inflation rate itna hai ki ek saal ke baad aap ka money ka value down ho gaya hoga aur aap aur option ke andar yadi investment karte hai toh sayed vanha aap ko interest jyaada milega magar capital growth chahiye itna nahin hoga. Share bazar ek aisa marg hai jahan par aap ka paisa invest karne se capital growth ho sakta hai. Yahan khatra bhi hai ki aap ko loss bhi ho sakta hai agar aap poori jaankari ke saath share market mein invest na kare.  lekin yadi aap achii jankari ke sath investment karte hai toh aap achee paise kam sakte hai  toh aaj hm apko kuch aise tips btayenge jin se aap share market ke andar achee kama sakte hai.

Share Market Me Achaa Profit Earn Karne Ki Tips

1. Day Trading Kare

Yadi aap share market ke andar invest karte hai to apko Day trading ke bare me pta hona chahiye kyoki day trading se log bhut paisa kamate hai Day trading use kehte hai jahan par aap har roj koi bhi share kharid ya bech sakte hai. Physically aap ko share ka delivery dena nahi hai ya lena nahi hai. Har roj ke trading ke samay ke samapti par aap ka account square off ho jaayega yaane ki agar aapne koi share kharida hai to use bech dena hoga our becha hai to kharid kar sauda balance kar dena hai. Is mein aap ko har roj trading ke samay par computer par prices ko follow karna hai aur jab bhi mauka aaye to kharid/bech dena hai. yadi aap thode se bhi chukte ho to aap loss me ja sakte hai. apko time to time share ka rate dekhna padta hai.
lekin Is mein mushkili yeh hai ki aaj kal algorithm trading hota hai yaane ki bade brokers ne aisa program set kar diya hai ki computer software hi share ke price par nazar rakhta hai aur khadir/bechne ka decision le leta hai. Is mein aap decision le us se pehle he scene badal jaata hai aur aap dekhte reh jaate hai. Shayad loss hota hai. Isiliye day trading savdhaani se kare aur selected scripts mein hi kare. Technical aur fundamentals ke baare mein aap ko jaankari hona chahiye.  yadi apko jnkari na hai toh aap risk na le achii jankari ke sath hi share market me investment kare werna jo apke pas hai use bhi kho denge.

2. Futures and Options Me Trading Kare

Futures and options Derivatives ke do common part hai aur Futures and options bhi share market ke andar trading ke optin hai. lekin Futures and options doosre tarike hai jahan par aap contract period ke andar koi bhi share kharid ya bech sakte hai. Options trading mein aap ko right hota hai  ki share ka ek lot aap chahe to kharid le ya bech de.

Future trading mein aap ko kharidna ya bechna anivarya hota hai. Agar futures aur option ke disha mein aage badhna hai to is ke baare mein abhyas karna hoga jis se aap samaj sakenge alag alag terms jaise ki in the money, asset price, strike price aur vagairah. Aap ko technicals aur fundamentals ka bhi khayal hona chahiye aur chart interpret karne ka gyan bhi. tabhi aap trading kar sakte hai lekin apko yadi jankari na ho aap trading na kare .achii jankari se hi aap achaa profit le sakte hai .

3.  Start Me Kam Paise Lagaye

Yadi aap phli bar share market me investment karne jaye to aapko suruat me bahut hi kam investment karni  cahiye. aap ko jitna invest karna hai aap ke paas jitna fund hai us ke sirf 30% se hi kaam shuru kare chote chote trade mein aur record karte rahiye ki aap ko kitna fayda aur kitna nuksan hota hai. aur jab aap expert ho jaye aur aapke paas achha experience Ho Jaye to apna investment dheere dheere jyada karte jaye aisa karne se aap share market  ko achee se jaan sakte hai. Aur phir bhi aapko profit Hona shuru ho jaye toh aap badi badi investment karna start kar sakte hain |

4. Experts Ko Follow Kare

Share market me invest karne se pahle Expertse advice jaru le . kyoki unko share market ke bare me bhut achii jankari hoti hai  aur aaj bhut si  aise site hai aur bhut aise expert hai jin ko aap follow kar sakte hai.  lekin apko achaa expert ko dekhna chahiye  aise kisi fake website ya kisi aise hi experte se advice na le .
Apko kuch thodi bhut fees leke achii advisor mil sakte hai . kyoki aaj market ke andar bhut se log fees leke  share market advisor ka kaam karte hai.

5. Market ki Technical analysis Jarur kar le

Yadi aap share market me business karna chahte hai to aapke pass share market  me busniess kerne ki art honi chahiye . aur jab bhi aap suruat me  share market me investment karne jaye to sabse pahle aap market ki Technical analysis jarur kar le. aur ye bhi pata kar le ki market me kisi chiz ki dimand jyada hai. Technical analysis ek aisa funda hai jo aapko market me kya chal raha hai uske bare me sahi details deta hai. isliye share market me invest karne se pahle market ki Technical analysis jarur kar le taki apki investment me risk kam ho jaye.

6. Purchase Karne Wale Stock Ki Puri Infomation Le

Share market me bahut se risk wale kaam hota hai lekin  aapko is baat ka Dhyan Dena chahiye Ki Ap jis company Ke Share Mein investment kar rahe hain woh company trusted over achi Goodwill wali honi chahiye kyoki aksah share market me aisa hota hai ki hum jiss company me invest karte hai woh company hamare sare paise lakar bhag jati hai. isliye share market me invest karne se pahle aapko uss compnay ke bare me puri tarah se information pata kar le aur jab har ek information sahi ho tabhi usme invest kare. agar aapko kisi bhi company ke bare me thodi bahut bhi doubt ho to aap uss compnay me kabhi bhi invest naa kare. kyoki apko ye lge ki company ka records achaa nhi hai to bhi invesment krenge to aap nuksaan ki or jayenge|

 7.  Dusro ki Tips Se Door Rahe

Dosto Aap Soch Rahe Hoge Ki Tips De Rahe Hai Aur Tips Se Door Rahe Yeh Bol Rahe Hai, dosto Yeh Baat Ek Dum Sahi Hai, Tips Le Sakte Hai Lekin Unki Tips Pasand Kare Jo Share Market Se Paisa Kamata Hai, Jo Banda Share Market Ke Baare Janakari Nahi Hai To Unki Baato Pe Bharosha Mat Kare, Kai Baar Company Se Call Ya Massage Aaye To Unko Turant Follow Mat Kare Woh fake Bhi Ho Sakta Hai, Bazar Me Faili Afava Ko Dhayn Me Na Le Unse Aap Ko Bahut Bada Nuksan Ho Sakta Hai,

Isliye aap dhyan se information leke hi tipes ko follow kare yadi apko lage ki yah fake ho sakti hai ya is se  apko nukssan ho raha hai toh aap use bilkul bhi follow na kare . aur time to time expert se advice lete rahe

8. Expert Bane Ki Kosis Kare

Share market mein kai logo ko day trade mein expert ban jaata hai to kai log futures and options mein experts ban jaate hai. Kai log long term investments  me ache jankar hote hai .  sabhi apne hisab se   aleg ale department me expert hote hai  .Aap ka lifestyle kaisa hai? Kya aap share market   me achaa time nhi  de sakte hai toh aap Day trading chuniye. Jyada dhyan nahin de sakenge magar achcha aisa samay de sakte ho to futures and options  me expert bane ki kosis kare

Agar aap ka job aap ko busy rakhta hai aur samay kam milta hai to shares physically kharid ke rakhe aur sirf us ke prices ko follow karte rahiye. Saal mein ek ya do baar to mauka aata hai jab price difference achcha hota hai aur bech ke aap ko achcha aisa profit hoga, bank deposit ya interest se kai jyada. lekin apko profit ke sath market ki knowledge  honi chahiye jis se aap kuch din me achee expert ban jaye .

9. Time Ko Follow Kare

Bahut se log Share Market me investment karte hai lekin phir bhi isme fail ho jate hai kyoki woh sahi chiz me investment nahi karte hai. bahut aisi stock hai jo acchi tarah se kaam kar rahe hai. agar aap share market me investment karna chahte hai to ek baat ka aapko dhyaan me rakhni hogi ki share market me aapko kisi bhi chiz ki kisi bhi prakar ki koi guarantee nahi di jati hai. yaha par aapko kisi bhi chiz ki koi garanti nahi de sakta hai.aap jis company Ke Share Mein investment Karte Hain usi company ke profit or loss ke upar sab kuch depend karta hai. Isliye iss baat ka dhyaan me rakh kar share market me invest kare ki aapko yaha par kisi bhi chiz ke wapsi ki koi garanti nahi Milegi. isliye isme risk hota hai.

10. Confidance Rakhe  Aur Try Kare

Share market me trading karne ke liye confidance hona  bhut jaruri hai  kyoki Investor ka share market ke uper koi control nhi hota hai . to apko risk lekar  hi share market me business kar sekte hai isliye yadi aap risk lekar share market me bhuniess nahi karege tab tak aap isme safal nahi hoge kyoki ek khuawet hai more risk more gain, isliye risk lene se naa dariye Aisa nahi hai ki aap share market me apne pahle hi investment se paise kamana suru kar de aisa bhi ho sakta hai ki aapke dwara kiya gaya first investment me nuksaan ho  jaye lekin agar aisa hota hai to aapko haar manane ke bajaye ye sochta cahiye ki aakhir humne galti kaha ki aur apne dwara kiye gaye galti ko sudhar kar phir se kosish kare  aapko success jarur milegi. bar aap apni phli galti ko dhyan me rakhe.

Umeed hai ki hmare dewara di gyi jankari apke kaam ayegi aur janakri achii lage to apne dosto ko bhi share kare.

Related Articles

One Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button