Samanya Gyan

Masala Powder Ka Business Kaise Start Kare In Hindi

Masala Powder Ka Business Kaise Start Kare In Hindi

Masala Powder ek asi chij hai jiska istemal aaj sabhi ke kitachan me hota hai aaj inke bina khana nhi banta hai. indian Khane Mai Masalo Ka Bahut Hi Important Role Raha Hai.indian Khane Ki Pahchan Unke Ander Dale Gaye Masolo Se Ki Jate Hai. Isliye Market Mai Hamesha Se Hi indian Masala Ki Demand Rahe Hai..aur india purane time se Masala Powder ka bhut bda expoter hai india se aaj duniya bher me Masala Powder export kiya jata hai.kyoki  Sirf India Ke Andar Bahut Tarah Ke Spice Ki paidawar ki jati Hai Jaise Mirch , Dhaniya, Haldi, Jeera, Etc jo apko sayed hi dusre desho me milenge isliye bhut se masale india se bhar dusre desho me bheje jate hai.

Aur apko bte de ki india me purane time ki bat kare to Gaon Mein Log Masalo Ko Ghar Mai Hi Piss Kar Uska istemal karte the aur wahe ek dem pure hota tha lekin use time bhut kam masalo ka istemal kiya jata tah lekin aaj bhut jyada spices ka istemal hota hai jis se inki demand bhut jyada hai . isliye aaj masala powder ka business india ke andar bhut jyada sucess hai.

Aur yah ek aisa business hai jisko aap apne capital amount ke hisab se start kar sakte hai aap chche toh ek large scale business start kar sakte hai aur apke pas jyada investment nhi hai toh aap chote level pe bhi business start kar sakte hai yadi aap bhi yah business karna chahte hai toh aaj hm is post me apko batyenge ki aap kaise masala powder ka business kar sakte hai

Masala Powder Business Kaise Start Kare

Yadi aap masala powder ka business karna chahte hai toh apko btate hai ki apko masala powder business ke liye jyada lambai process nhi karni padegi.Masala business Ya spice Industry Se Hamar Matlab Aise Company Ya Factory Se Hai Jaha kache Masalo Ko saf karke Pisa Jata Hai jis se inko jab khana bnane ke liye istemal kiya jaye toh aasani se istemal ho jaye aur unko pisne ki jarurat na pade.

Aaj aap yadi koi bhi masala market se leke ate hai to aap dekhte hai wahe pisa hua aur packing milta hai. jis se wahe sabji ke andar achee se mil jaye aur aapko yah masale bina pise hue bhi mil jate hai lekin unke andar bhut si chije saf karni padti hai aur wahe sabji me bhi achee se milte hai. aaj apko india ki market ke andar 3-4 achii spices company milegi jaise ;Everest Masala, MDH Masala, Catch Masala Yeh Sab Bharat Ki Kuch Popular Spicy company hai.

Yah aisi company hai jinke masale duniya bhar me jate hai aur inka kai Crore Rupee Turnover Hai. kyoki spices ki demand kbhi kam nhi hogi aur achee masale ki demand to sab jgah hoti hai. kyoki Aap Koi Bhi Sabji Le Lo Bina Masale Ke To Ban Hi Nahi Sakte. Jara Socho Agar Aap ASabji Mai Masala Hi Na Dalo To Kya Wo Khane Mai Testy Lagegi, Nahi Na Isliye Masala Har Ghar Ki Rasoi Ki Jarurt Hai.

Isliye ane wale time yah business ek sucessful business hai yadi aap bhi is business me interest rakhte haitoh aap Aap Kahi Par Training Lekar Bhi Spices company Start Kar Sakte Hai. apko traning ki isliye jarurat hai kyoki Taring Mai Aap Ye Sikhne Ki Jarurat Hai Ki Konse Masale Mai Kya Or Kitni Quantity Milaye Jate Hai.aur aap bina traning ke business start karte hai to sucessful hone ke kam chance hote hai isliye aap pahle thode din traning le.

Masala Powder Business Ke Liye Jaruri Machine

Yadi aap ek spices business start kar rahe hai toh apko bhut si machine lani padegi aap ek  machine se kaam nhi chla sakte hai kyoki jab koi bhi masala company ke andar process hone ke liye laya jata hai uske sath bhut si chije ati hai jaise mitti ,pathar or bhi bhut si chije aa jati hai .toh masal ek dem fresh karne ke liye bhut lambi process chlti hai iske liye kuch machine ki jarurat padti hai jaise;

  • Cleaner :-  Iska Kaam Kache Maal Mein Se Dhool , Mitti, Pathar Saaf Karna Hota Hai.
  • Dryer :- Ye row material Ko Sukha ne Wale Machine Hoti Hai.
  • Granding Machine ;- Is machine ka kaam masalo ko paisne ka hota hai.
  • Powder Grader ;- Jab ek bar masale pis liye jate hai toh uske bad is machine ke andar dalke aur barik pise jate hai.
  • Bag Sealing Machine ;- Masalo Ki Packing Karne Ke Liye Is Machine Ka Use Kiya Jata Hai.

Aur in sabhi machino ko lagane ke yani masalo ke production ke liye kam se kam 80 square feet, jgah ki jarurat padti hai aur Packing Area & Godown ke lye kam se kam 150  square feet area ki jaruat padti hai tabhi aap ek achaa business start kar sakte hai. kyoki apko sabhi kaam ke liye alag alag jgah istemal ke liye chahiye.

Spice Industry Ka Registration Kaise Karwaye

Apko pta hai ki aaj koi bhi business karna chahe toh uska registration karwana bhut jaruri hai tabhi wahe business legal mana jayega werna use band bhi kar sakte hai.isi trah yadi aap Masala Business  small scale Mai Shuru Kare Ya large scale Mai Aapko Registration Karwana Padega. tabhi aap apne business ko start kar sakte hai werna apke business ko band bhi kiya ja sakta hai.yadi apne bhi yah business start kiya hai aur registration karwana chahte hai toh Registration Karwane Ke Liye Niche Diye Hue Steps Follow Kare.

  • Sabse Pehle Apko Company ROC( Registration Of Company ) karwane Hogi. Agar Aap Ghar Se Masala Manufacturing Shuru Kar Rahe Hai To Aap One Person Company Registration Bhi Karwa Sakte Hai.
  • Uske bad apko Local and Municipal Authorities Se Trade License Lena Hoga.
  •  Aur apko Food Operator Licence Bhi Lena Hoga.
  • Apko BIS Certificate Bhi Lena Hoga.

Aap in sabhi Licence, aur Certificate ke bina business start nhi kar sakte hai .chahe aap business chota kar rahe hai ya bda kar rahe hai apko ye sab process to karni padegi aur apko uske bad ISI Guidelines ko follow karna pdega aur apko BIS Certificate Bhi Lena Hoga.

Masala Powder Business Ke Liye Jaruri ISI Guidelines;-

  • Black whole and ground (Kali Mirch)      ISI-1798-1961
  • Chilli powder (Mirch Powder)                 ISI-2445-1963
  • Coriander powder (Dhaniya Powder)     ISI-2444-1963
  • Curry powder (Kari Powder)                   ISI-1909-1961
  • Turmeric powder (Haldi Powder )           ISI-2446-1963

India Me Spices Production Wale State  Aur Cities

Aap spices ka business karna chahte hai toh apko pta hona chahiye ki kon se spices lha hote hai aur kha se khridne par apko shi price pe mil sakte hai.tabhi aap shi jgah se apne business ke liye kacha mal khrid payege.

  • Kali Mirch :- Kali Mirch Jyadatar kerla,Tamilnadu or Karnataka Mai Hoti Hai.
  • Elaichi :- Elaichi Ki Paidawar Sikkim Or West Bengal Mai Jyada Hoti Hai.
  • Adrak :- Kerala , Karnataka, Orissa, Andhra Pradesh, Tamilnadu, Himachal Pradesh, Chattisgarh Mai Adrak Ki Manifictrating Jyada Hoti Hai.
  • Ajwain ;- Ajwain Uttar Pradesh and Punjab me hoti hai
  • Haldi : – Bihar, Assam, Chhattisgarh, Himachal Prades, Mizoram, Sikkim Mai Haldi manufacturer Jayda Hoti Hai.
  • Long ;- Long Karnataka, Tamil Nadu and Kerala me hoti hai.
  • Mirch :- Mirch Jyada Tar Rajasthan ,Gujarat, Karnataka, Andhra Pradesh., uttar Pradesh Mai Hoti Hai.
  • Jira :- Jira ka Manufacturing Jayada Rajasthan , Gujrat, Uttar Pradesh Mein hota Hai.
  • Soof :- Rajasthan , Gujrat, Uttar Pradesh.
  • Ajwain : – Ajwain uttar Pradesh Or Punjab Mai Hoti Hai.
  • Maithi :- Rajasthan , Gujrat, Uttar Pradesh Mai Mai Thi Jayda Hoti Hai.
  • Kesar :- 90% Kesar Jammu Kashmir Mai Hota Hai.
  • Lahsun:-  Rajasthan , Gujrat, Uttar Pradesh, Bihar , Orissa, Haryana Mai Hota Hai.
  • Tejpatta : – Sikkim or Arunachal Pradesh Mai Jyada Hoti Hai.
  • Nutmeg and Javitri:- Nutmeg and Javitri Kerala, Tamil Nadu me hote hai .

Masala Powder Business Ko Sucessful Bnane Ke Liye Tipes

Yadi aap spices ka business kar rahe hai to apko kuch bato dhyan rakhna hoga tabhi aap business ko sucess kar sakte hai. sabse pahle aap ek achii quality ka masala ka production kare kyoki jab tak apke uper customer ko trust nhi aap market ke andar apne product ko sale nhi kar sakte hai aur ek bar apke product ke uper customer ko trust ho jaye uske bad ek ke bad ek customer bdhte jayenge. aur aapko apne product ka Promotion karna padega kyko jab tak apke business ke bare me customer ko pta nhi chlega tab tak koi customer apke product ki tref nhi dekhega toh apko promotion karna hoga aur Promotion kai parkar se kar sakte hai jaise; Tv Mai Ad Dekar , Online Marketing etc. aur bhut se tarike hai jis se aap promotion kar sakte hai.

Toh yadi aap bhi masala powder ka business karna chahte hai apko hmne yah puri jankari provide ki hai jaise;masala udyog machine ,project report on masala manufacturing ,masala making machines ,masala udyog project in marathi ,masala plant cost ,masala making courses ,masala udyog marathi ,masala udyog project report in marathi etc.aap yanha se jankari leke apna business start kar sakte hai.

umeed hai apko hmari jankari kaam ayegi aur jankari achii lage to apne dosto ko bhi sahre kare aur comment kare.

Related Articles

One Comment

  1. masala business marathi book,all Machin specification,project book,masala training course pl.details

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button