Samanya Gyan

25 Business Ideas Kam Budget Walo Ke Liye Hindi Me

25 Business Ideas Kam Budget Walo Ke Liye Hindi Me

Aaj bhut se log business karna chahte hai kyoki bhut se log job karna pasand nhi karte hai . kyoki job ke andar dusro ke niche kaam karna padta hai. aur kuch logo ko dusro ke niche kaam karna pasand nhi hota hai. isliye vahe khud ka business karte hai. .lakin unke samne  Sabse Badi samasya  investment ki hoti hai. unke Paas proper investment nhi hoti kisi achee business ko start karne ke liye jiske andar achii investment karni pade . Lekin Aaj Sabhi business ke andar high investment ki jrurt nhi hoti hai. aaj bhut se aise business hote hai. jinke andar thodi si investment ke sath achee paise kmaye ja sakte hai .

Kyoki  aap kahi bhi chle jao kisi bhi desh ke andar apko large scale business se Jyada small scale business Milenge. aur aaj chota sa business start karkr achee paise kama sakte hai . aur chote business kam budget me start ho jate hai isliye jin logo ke pas kam budget ho unke liye small business bhut bdiyaa hai . lekin yyadi aap kam budget ke sath  chota business start karna chahte hai. to apko starting me thoda hi profit milega . lekin aap bina kisi paise ki samsya ke thode se budget me ek achaa busness start kar sakte hai. toh aaj ham aapko aise business ke baare main batane ja rahe hain jisko ki aap kam paiso main bhi kar saktey hain . aur kisi bhi bade se bade business ki shuruaat bhi chhote investment se hee hoti hai usme logo ki mehnat, lagan aur dimaag, aur fir sabse last main luck bhi role play karta hai.

25 Business Ideas Kam Budget Walo Ke Liye

1. Blog Ya Website Banakar

Aaj apko batane ja rah hu ke hamara future technogy ke ooper he depend karega .aur blogging sabse best tarika hai online paisa kamane ka Aap Acha Paisa Lambe Time Tak Kma Sakte Hai aur  jyadatar log blogging ke dwara hi apne online career ki suruwaat karte hai. iske andar aap investment aur without investment Ke Bhut Paisa Kama Sakta Hain .  kyoki blog free me bhi ban jata hai aur thode paise lgake bhi blog bana sakte hai lekin apko  thodi si investment ke sath achaa bolg ya website start karni chahiye. blogging me aapko kisi ek topic par blog bana kar usko run karana hota hai lekin Iske Liye Aapko Writing Ke Sath us Topics ke bare me Knowledge Hona Chahiye chahiye jis topic ke uper apne blog bnaya hai  apko jis topic ke bare me achii knowledge ho tabhi aap us topic ke bare me  apni knowledge ko logo ko share kar sakte hai.

lekin apko blog se ek dem se earning nhi mil sakti hai. aap shuru ke 6 mahine ya 1 saal tak jyada paise nahi bana payenge par ye wohi time hai jab aap ko patience se kaam lena hain.aur jab aapke blog par badiya tarffic aane lage uske baad aap google adsense yaa phir affilliate marketing ke dwara isse paise kama sakte hai. aap kisi bhi topic par apna blog bana sakte hai. aap apne intrest ke hisab se kisi bhi topic par apna blog bana kar online business start kar sakte hai. ye ek best idea hai online business start karne ke liye.

2. Open A Data Entry Company

Data entry  ka business bhi aaj bhut jyada chelta hai Data entry companies wo companies hoti hai jo ke alag alag tarah ke data ki entry computer system main karwati hain, waise to India main data entry wali bahut saree companies hai lekin wo companies zyada workload hone per apna kaam chhoti chhoti companies mian baat deti hain to iss kaam main kaafi acchi opportunity hai apke liye. aur apko iske andar itni jyada investment bhi nhi karni pdti hai .

Bss aap thodi si investment ke sath achaa business start kar sakte hai. yadi apke pas thoda hi budget hai to aap apke liye bilkul perfect business hai.

3.  Open A Coaching Center Ya Tuition

Coaching classes open karke paise kaise kamaye best Tip’s low Cost Business idea hai. Jaise har people’s yeah baat janta hai ki paise kamana itna easy nahi hai isske liye phele hard work karna hota hai . or hard work karne ke liye pateince   hona important hai . toh apke andar achii teaching skills haai toh aap achee paise kama sakte hai . kyoki aajkl bachee achee number ke liye extra classes lgate hai wo school ya college kii class se satisfied nhi hote hai.

Toh yadi apke pas thodi si investment hai aur apko kam budget ka business karna hai toh aap ek cpcahing center khol sakte hai.

4.  Party Planning Service Provide Kar Sakte Hain

Yadi aap ek Metro city Mein Rehte Hain. aur aap thodi Si investment main business karna chahte hain. to aap party planning service provider ka kaam kar sakte hain Kyunki Metro city ke andar bade bade Businessman Rehte Hain Jo Kabhi party karte hain toh acche se acche party planning service provider ko dekhte hain.

Aur usse party planning kerwate hain.  Uske Badle paise diye Jate Hain.  to aap Thodi Si investment me yah achha business start kar sakte hain yadi aap ke andar achi management skill hai . to aap is business Se achha Paisa kama sakte hain|

5. Translation Ka Kaam Kar Sakte Hain

Aaj Bahut Si multinational company bahut Sare Desh Mein business karti hai aur unko language related Bahut Si samasya ka Samna karna padta hai Kyunki unke document bahut se desho ki aleg aleg  language ke andar hote hai. unko translation service provider ki jarurat padti hai aap kuch  achi language Jante Hain To aap translation service provider ka kaam kar sakte hain.

Uske Badle company achha Commission Deti Hai aur bahut long time tak contract par rehti hai.iske liye aap ke andar achi language skill hona chahiye aur achi communication skills bhi hona chahiye.Jitna aapka kaam company ko Pasand aayega Itna Hai Jyada company aapko Commission Degi uske andar aap Thodi Si investment se Achha business start kar sakte hain aur paise Kama sakte hain|

6.  Company Ko Video Conference & Board Room Facilities De Sakte Hain

Aaj bade bade Enterprises ke paas toh video conference hall  boardroom room Jaisi facility hoti hai. lekin kuch chote aur medium enterprises ke paas na to video conference hallor na hi boardroom room  facility hoti hai. toh

vahe video conference ke liye  ke liye rent Ke Upar video conference hall or boardroom Jaisi facility Lete Hain.
To yadi aap ke paas thoda sa Paisa hai .to aap Iske andar investment Karke achha business start kar sakte hain achha profit kama sakte hain.

7. Medical Tour Services Shuru Kar Sakte Hain

Yadi aap Foreign country ki medical service expenses ko India ke Medical Services expenses se compare Karenge to unke andar bahut farak Hai.Kyunki India ke andar  medical expenses bahut kam hai isliye foreign country se log surgery medical treatment ke liye India ke andar Aate Hain. toh unko acche visiting services provider ki jarurat padti hai. Kyunki  unko bahut Bari India ke andar Aana padta hai.

To yadi aap Thodi Si investment ke andar business karna chahte hain. to aap medical tour service provider ka kaam kar sakte hain .uske liye aapko service firm open karni padti hai aur bhej register karwa ke aap ek accha business start kar sakte hain uske andar Itni Jyada investment Ki Zaroorat Nahi Hoti lekin  achaa paise Kama sakte hain|

8. Beauty Parlor Shop Khol Sakte Hai

Aaj beauty Treatment Centre bhoot Chalte Hain  .Kyunki high class log Jyada Sundar dikhne ke liye Beauty treatment Karwate Rehte Hain. Paiso Ki Parwah Nahi karte huye bahut bari Beauty treatment karwate hai.
To aap ek Alag business karna chahte hain aur aap ko Beauty treatment Aata Hai. to aap thodi si investment se Beauty treatment center sakte hain aur chota sa beauty center khol sakte hai.

9. Fast Food Restaurant Khol Sakte Hai

Fast food Cafe bahut accha business hai .Kyunki log Aaj ghar ka khana kam khate  hain. aur fast food bahut jyada kehte hain aap koi bhi Fast food Cafe ke andar Ja Ke Dekh Le bahut jyada bhid milegi.

kyoki logo ke paas time ki Kami hai .aur log Chalte phirte khana khate Hain. isliye fast food ki demand bhut jyada hai. isliye aap fast food   khol ke ek chota sa business start kar sakte hain aur achaa paisa kama sakte hai|

10. Jewelry Designer Shop Khol Sakte Hai

Agar aap designing main acche hain aur aapo sona, chandi , heere jawahraat kee thodi si jaankari hai to jewelry designing ka business start kar saktey hain.

11. Tailor Ki Shop Khol Sakte Hai

Aap tailoring ka kaam seekhkar apni khud kee tailor kee dukaan khol saktey hain. yeah business ek housewife ke liye sabse best business Kyunki housewife ghar pe Reh Kar Bhi Tailoring  service ka kaam kar sakti hai isliye housewife hi toh aap without investment business start kar sakti hai paise Kama sakte hain.

Lakin kisi vayekti  ke liye bhi tailoring ka kaam karna chahta hai uske liye bhi Ek achha aur kam investment walabusiness hai |

12. Driving Ki Coaching Class

Driving School ek evergreen business hai.Kyunki aaj din bhar ka ki sankhya badhti hai ja rahi hai .or log Jyada Se Jyada car leke aa rahe hain aur ka sikhna Chahte Hain. yadi aap ke paas thode Se paise hai . aur aap achi Jagah investment karna chahte hain to aap ek car driving school open kar sakte hain uske liye aapko 2 se 3 car aur ek acche drivero ki team ki jarurat padegi Jis Se aap ek accha business start kar sakte hain.

or yah ek aeisa business ek baar start hone par acha chlta hai Kyunki caro ki sankhya Kam Nahi jyada hi hoti hai aur sikhne walo ki sankhya bhi din bhar badhti ja rahi hai.

13. Bakery Khol Sakte Hain

Aaj bhut se bakery items cakes, bread or bhut baking items ki demand bhut hai . yadi koi program ho ya ghar ke andar bhut se baking ki items jarurt padti rahti hai. isliye bakery ka business bhut secessful business hai.
Yadi aap thodi si investment ke sath ek khud ki bakery khol sakte hai. to aapke liye ek achaa business hoga|

14. Cloud or Hosting Services De Sakte Hain

Aaj cloud hosting service provider ka business sabse success business me se ek hai Kyunki Aaj log Internet ke bare me bhut kuch jante hai Aur bhut se internet se paise kamne ke liye bhut blog bnate hai .or unhe apna data upload karne ke liye achee server ki jrurt hoti .aur sabhi achaa server dekhte hai jis unka data safe rahe .

Toh yadi aap thodi investment ke sath business start karna chahte hai . toh aap  cloud or hosting service provider ban sakte or logo achhii  hosting services de sakte hai. aur yah business bhut  thodi investment ke sath start kar sakte hai |

15. Resume Writing Kar Sakte Hain

Resume job ke liye sabse import document me se ek hai .aaj ydi Koi job ke liye apply karna chahta hai to sabse phle use company ke andar  apna resum submit karwana padta hai . uska resume dekh Kar hai. company usee job ke liye select Karengi.

Aap ke andar achi writing skills hai bilkul acche hai to aap resume write kar sakte hain. kyoki job ke liye to sabhi apply karte hai or sabhi ko resum banwana padta hai. yah business ek best business hai unke liye jinke pas thodi investment hai .

16. Career Ke Liye Guidance Kar Sakte Hain

Aaj student apne career ke liye bahut chintit rhate hai kyoki student ke pas study ke andar ek asi position aa Jati Hai ki unko Soch na padta hai ki ab career me aage kya karna hai . unke Paas career ke liye Bahut option hote hai lekin ek achi aur best option select  nhi kar pate hai hai.

Phir  wahe career ke baare ya toh Kisi teacher se yeah Kisi career guide se guidance Lete Hain to aap Student ke liye ek acche career guide  ban sakte hai . aur  Guidance agency khol sakte hai .aur ek accha aur Chota business start kar sakte hain|

17. Taxi Services Provide Kar Sakte Hain

Aaj log Kisi bhi ghar  se thodi dur par jane ke liye Jaise ghar Se station bus stand jane ke liye Apne personal  vehicle ka kaam istemal karte hain. aur taxi ka Jyada istemal Karte Hain.  aur log achii premium Keemat Dete Hain taxi services ke liye Ki takki Aane Jaane Mein Koi dikkat Na Ho

Isliye yadi aap thodi investment ke sath taxi services provider business start kar sakte hain. yah ek successful business jo Sadabahar chalta rehta hai|

 18. Second Hand Book Store khol sakte hain

Aaj bhut se student apni book ko ek bar istemal krke usko book center ke uper bach dete hai. Kuch student aise bhi hote hai .jinke pas  new book khridne ke paise bhi nhi hote to vahe second hand book khridte hai. aur hamne bhut se book center wale dekhe hai purani book ke uper 20% se bhi jyada commision kamate hai.

Toh yadi aap thoda si investment ke sath business karna chahte hai .to aap ek book center khol sakte hai. aur second hand book ko khridke bachne ka business kar sakte hai.

19 . Hardware Shop Khol Sakte Hain

Aaj log ghr ki decoration ke liye  furniture banwate hai . aur yadi achaa  furniture banwana hai . to ek achee hardware shop ki jurut padti hai kyoki furniture ka sara saman vahi milta hai. aur inki demand samye ke sath badhti ja rahi hai.

Yadi thodi investment ke sath ek hardware shop khol le to ane wale fature ke liye ek best business hai. iske andar aap thodi investment ke sath business start kar sakte hai|

20. Interior Designing Services

Aajkal interior designing ek bahut hee accha option hai ek naya business start karne ke liye aap logo ke liye unki ghar ka interior designing kar sakte  hain aur kam investment karke aap logo ko interior designing services de sakte hain.

21. Catering Business

Dosto ye ham sabhi jantey hain ke catering ek bahut hee badhiya business hai isme thoda investment to chahiye hota hai lekin aap kafi paisa kama saktey hai catering business se aap companies main, shadiyon main, hotels aadi main catering ka saaman supply kar saktey hain.

Toh yadi aapko acchi food  management Aati Hai aur aap logo ko achha aur tasty food provide kar sakte hain to aap catering service start kar sakte hain iske ander aap thodi investment ke sath achaa paisa kama sakte  hai|

22. Game Cafe Khol Sakte Hain

Aaj  bache ghar pe game khelna pasand nahi karte. kyoki Na toh acche computer Hote Ho acche acche game Milte  hai .toh wahe acche game cafe dekhte hain .Jahan Par acche game khelne ko Milte Hain aur achi facilities milti hai

Isliye aaj aap city ke andar Dekhenge toh aapko bahut se game Cafe Mil Jayenge aap thodi Si investment kar sakte hainak achaa game cafe   start karke ek chota business start kar sakte hai|

23. Education Book Store Khol Sakte Hain

Aaj Ek student ko bahut jyada study material ki jarurat padti hai  . first class Se Lekar aur uski study Puri hone Tak. aur study material ek  book store se material Nahi Milta bahut Store ke upar study material khridna padta hai.to aap soch sakte hai ki jarurt padi hai book ki aur compition exam ke liye to bhut jyada book ki jarurt padti hai

To aap ek book store khol ke Ek Chota aur accha business start kar sakte hain Yeh Hai Sadabahar chalne wala evergreen business hai or samye ke sath badhta hi ja rha hai |

 24. Medical Store Khol Sakte Hain

Medicine ki jarurat Tu aaj lagbhag bahut Bari padti hai .legbhg Har din padh sakti hai. Kyunki Aaj bimariyan Itni jyada hai ki bahut kam hai log hai  jinko medicine ki jrurt nhi padti hai.

Warna toh aap kisi ke ghar mein Ja Ke Dekh Le bahut sari medicine to aise hi advance mein rakhte Hain .kyoki Ghar Mein Koi Na Koi Toh Aisa jaroor Mil Jayega jo bimar hai  .Jiske Karan medical store hours bahut jyada Chalte Hain. isliye aap ke paas yadi medical licence hai to aap ek medical store Khol sakte hain|

25. Real Estate Agent Ka Kaam Kar Sakte Hain

Aaj real estate business kuch popular Business mein se ek hai. kyoki  aaj Kyunki sabhi  ko ghar ki jarurat aur ghar kharidne ho ya Ghar Kiraye pe Lena Ho Sabhi real estate agent ke pas jate hai. kyoki real estate agent ko bhut si jankari hoti hai .aur real estate agent Ghar aur flat ko koi khridta hai ya bachta hai dono se commision leta hai.

To yadi aapko real estate business ke bare mein achhi Jankari hai toh aap real estate agent Ban sakte hain uske andar aapko achha Commission Milta Hai Yeh aap acchi dealing karwate Hai |

Hmne apko is article me Best Low Investment Business idea Bataye aap apne aap apni investment aur skills ke hisab se ko bhi business kar sakte hai iske ander andar hmne apko sabhi parkar ke business ke bare me btaya hai jaise; manufacturing business ideas ,upcoming business ideas in india ,business ideas without investment toh isme jo apko achaa lege or jisme apka intrest ho aap use select kar sakte hain|

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button