11 Best Iron & Steel Low-Cost Business Ideas In Hindi
11 Best Iron & Steel Low-Cost Business Ideas In Hindi
Iron aur steel ka istemal aaj lagbhg sabhi jgah kiya jata hai aaj aapne charo tref dekhenge to bhut si jgah apko steel aur iron ka istemal milega aaj hmari jiwan me iska bhut istemal hai aur isi se aaj Iron aur steel industry bhut jyada established ho rahi hai aur Iron and steel industry India ke andar ek most potential industrial sector hai. aur Iron aur steel industry Indian industry ki backbone hai. kyoki Iron aur steel bhut si major industries ke liye raw materials ka kaam karta hai. jaise; automobile, automobile components, construction, defence manufacturing, electrical machinery, railways, renewable, thermal power oil and gas etc.
Aur apko bta de ki world me steel production me India ka 3rd ranks hai. aur aaj ise se hi indian ke andar bhut se business chal rhe hai . lekin koi bhi iron ya steel industry established karne ke liye bhut paise ki jarurat padti hai kyoki yadi aap steel ya iron production karna chahte hai toh iski bhut si process hoti hai aur row material ki jarurat padti hai jiske andar bhut paisa lagta hai toh yadi aap iron aur steel se related koi business karna chahte hai aur apke pas achii nvestment hai toh aaj hm apko kuch achee business ke bare me btayenge aap apni condition aur investment ke hisab se koi bhi business kar sakte hai.
11 Profitable Iron & Steel Business Ideas
1. Clutch Plate Ka Business Kar Sakte Hai.
Clutch plate kisi bhi vehicle ke liye bhut hi jaruri part hota hai aur jis parkar se vehicle ki demand badhti ja rhi hai usi parkar clutch plate ki demand bhi badhti ja rhi hai. aur isliye clutch plate ka business bhi achaa business hai iske andar thodi si investment ke sath aap business start kar sakte hai aur aap thode time tak is business ke sath tike rhenge to aap kuch time me bhut achaa profit le sakenge.kyoki inki demand kam hone wali nhi hai.
2. Barbed Wire Ka Business Kar Sakte Hai.
Barbed wire ka istemal bhut si jgah kiya jata hai iska istemal security purpose ke liye kiya jata hai koi bhi businessman apne kisi bhi production area ki security ke liye iska istemal aur ajkal farmer bhi iska isteml apne farm ki security ke liye istemal karte hai. aur aaj inki demand bhut jyada hai aur kyoki farmer bhut jyada iska istemal karne laga hai. aur Galvanized barbed wire ko three categories me divide kiya jata hai. inko inke production me istemal hone wale materials aur inki life ke base pe divide kiya jata hai .aur inka business bhut hi sucessfull business me se ek hai hai iske andar koi bhi person normal investment karke business start kar sakta hai.
3. Blouse Hook Ka Business Kar Sakte Hai.
Blouse Hook ka business bhi bhut achaa business hai kyoki yah ek aise business hai jinke andar demand kam nhi hoti hai aur yah el aise business hai jinko koi bhi person apne ghr pe start kar sakta hai. aur thodi si investment ke sath business start kar sakte hai.aur Stainless steel or copper hooks ki garment industry me bhut jyada demand hai .
4. Gem Clip Ka Business Kar Sakte Hai.
Gem clip ya paper clip ek choti si chij hai lekin iska istemal bhut jgah kiya jata hai. education and office stationery bhut si jgah iska istemal kiya jata hai aur paper clip ko bnane ki process bhut hi easy hai aur inka business koi bhi person apne ghr se start kar sakta hai wo bhi thodi si investment me ek achaa businesss start kar sakte hai
5. Galvanised MS Wire Ka Business Kar Sakte Hai.
Galvanized M.S. Wire bhi ek bhut usefull wire hai is wire ka istemal jyada engineering items ke production me kiya jata hai. inka istemal Building Hardware, barbed wires, Screens rivets etc me kiya jata hai. aur yah mild steel wire rod and Zinc ingot ke istemal se bnaye jate hai. aur ika business karne ke liye jyada investment ki jarurat bhi nhi padti hai aur chote level pe aap business start kar sakte hai.
6. Copper Coated M.S. Wire Ka Business Kar Sakte Hai.
Copper Coated M.S. Wire ka istemal different types ki welding purposes me kiya jata hai.aur apko pta hai ki aaj welding ka istemal kitna kiya jata hai jis se copper coated wire ka istemal bhut jyada kiya jata hai jis se aaj inka business bhut jyada growth kar rha hai aur yah chota aur low investment business hai hai iske andar koi bhi person normal investment ke sath achaa business kar sakte hain.
7. Hacksaw Blades Ka Business Kar Sakte Hai.
Hacksaw blade ka istemal sabhi engineering industries me common hai. aur iska istemall bhut jyada kiya hai jyadater iska istemal metals and non-metals ko cut karne ke liye kiya jata hai aur inke bina metals ko cut karna bhut muskil hai isliye inki demand bhut jyada hai .aur inka production karna bhut hi achaa business hai aur ek person kuch investment ke sath yah business start kar sakta hai.
8. Hardware Store Open Kar Sakte Hai.
Hardware stores Indian market ke andar bhut populer hai. Hardware stores ke andar bhut sa iron aur steel ke product rakhe jate hai aur sale kiye jate hai. jaise; engineering product or tools etc bhut se aur yah bhut chlte hai ek bar achii investment to karni padti hai. lekin uske bad aap achii customer services provide kare toh achii kmai kar sakte hai .
9. Heat Treatment Servicing Unit
Heat Treatment ke andar Metal components/Mechanical products ki hardening and tempering kiya jati hai. aur is se metal ki life or mechanical properties bdh jati hai. aur yah bhut chota aur achaa business hai iske andar thodi si investment ke sath business start kar sakte hai
10. Iron & Steel Export-Import Ka Business Kar Sakte Hai.
India ke andar iron and steel ke import export ka business bhut teji se growth kar rha hai kyoki iron ki demand india ke andar bhut jyada hai aur supply kam hone ke karan isko export karna padta hai jis se iron aur steel ke andar import export ka business bhut teji se growth kar rha hai.
11. Nuts & Bolts Manufacturing Ka Business Kar Sakte Hai.
Nuts bolts ka istemal to aaj bhut si jgah kiya jata hai. aaj Nuts bolts ke bina sayed hi kuch bnaya aaj sakta hai. inke istemal ko dekhte hue aaj inka business bhut teji se age ja rha hai. aur koi bhi person achii investment se ek achaa business start kar sakta hai.
Toh yadi aap bhi business karne me intrest rakhte hai. to apko bta de ki yah area bhi bhut profitable area hai iske andar aap sucess ho sakte hai hmne is postt ke andar apke kaam ki bhut si jankari provide ki hai jaise;iron and steel business plan ,steel business franchise ,iron business names ,how much investment needed to start a steel mill ,iron scrap business in india ,steel fabrication business ideas ,iron and steel products list ,steel trading business model etc.
umeed hai hmare dewara di gyi jankari apke kaam ayegi aur jankari achii lage toh apne dosto ko bhi share kare aur comment kare.
Mai dubai ja raha hu mai waha se paise kama ke india mai ek chhota sa business khol lunga jisse muje koi pareshani nhi hogi thank you iorn